A selection of lovely, romantic, cute, sweet poetic & friendly texts. To send to close friends & loved ones. Send good morning loves sms, love sms jokes, love poems sms, hate u sms to your soul mates.
Koie dost hai na raqeeb hai
tera shaher kitna ajeeb hai
wo jo ishq tha wo janoon tha
yea jo hijar hai yea naseeb hai
koie dost hai na raqeeb hai
yahan kiss ka chehra perha karon
yahan kon itna qareeb hai
Tera shaher kita ajeeb hai
main kissay kahon meray sath chal
yahan sab key sar pey saleeb hai
koie dost hai na raqeeb hai
tera shaher kitna ajeeb hai
(Amjad…….0321-7912881)
Mery dil ki dunya main aa ker to dekho
tumhien zindagi ki haqeqat milay gi
zara apni aankhien utha ker to dekho
in ankhon main tum ko mohabat milay gi
tumhien naz husan o ada per hai lakin
humien naz apni wafa per bohat hai
milien gay hazaron zamaney main tum ko
na yea chahton ki inayat milay gi
meray dil ki dunya main aa ker to dekho
barey shooq say tum inhien aazmaon
nikalien gay matlab yea phir chore daien gay
badaltey hain chehrey her ik gam per yea
yahan aisay logon kki kasrat milay gi
merey dil ki dunya main aa ker to dekho
gawara nahi hai agher meri sorat
dua hai tumhien main nazer hi na aaon
chala jao ga main teri yaad lay ker
kahan pyaar ki tum ko dolat milay gi
merey dil ki dunya main aa ker to dekho
tumhien apney dil main basaya hai main nay
khata hai yea meri yea hi jurm mera
jo chaho mohabat ki ab tum saza do
bohat mujh ko is main bhi rahat milay gi
merey dil ki dunya main aa ker to dekho
gham e zindagi ka zeher pee k shahid
wo jiss key lie aaj hum mur rahey hain
bara khoof tha meri kurbat say jin ko
meri moot say un ko shohrat milay gi
meray dil ki dunaya main aa ker to dekho
(Amjad…….0321-7912881)
Kara key bahney assan raat sari tali aie
channa kadon aawien ga sawier hoon wali aie
dekhya na mukh tera tarey sarey luk gaie
motie day phul meri bawan vich suk gaie
muk di naie aas teri jag to nirali aie
kar k bahaney asan raat sari tali aie
hore thori dair nu aie wall khul jaan gay
kajley samit meray hanju dul jaan gay
kewien main bujawan jeri aapey aag bali aie
kar k bahaney asan raat sari tali aie
channa kadon aawien ga sawier hon wali aie
(Amjad…..0321-7912881)
Nazer say nazer tum milaney say pehlay
Zara soch lo dil laganey say pehlay
Zara us key dil main bhi tum jhank laina
Usay raz dil ka butaney say pehly
Zara soch lo dil laganey say pehlay
Main yea janta hon meri zindagi main
Koie gham na tha tere aaney say pehlay
Zara soch lo dil laganey say pehlay
Bohat roya ho ga wo apni khata per
Saza mujh ko gham ki sunaney say pehlay
Zara soch lo dil laganey say pehlay
Khuda roth jata hai yea soch laina
Kissi dil ko itna dukhaney say pehlay
Zara soch lo dil laganey say pehlay
Kahien jal na jao khud is aag main tum
Kissi aur ka ghar jalaney say pehlay
Zara soch lo dil laganey say pehlay
Amjad (0321-7912881)
Wo myjay kehti thi tumhien apna buna k choron gi
.
.
Phir aissa hi houa
.
.
Us nay mujay apna buna k chore diya
amjad(0321-7912881)