A selection of lovely, romantic, cute, sweet poetic & friendly texts. To send to close friends & loved ones. Send good morning loves sms, love sms jokes, love poems sms, hate u sms to your soul mates.

Author Archive


ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai

May 18, 2008 Author: Sameer | Filed under: Poetry SMS

ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai…
aur soch ke aangan mein utarta bhi wohi hai…

 

 

jis ne mere jazbon ki sadaqat ko na jaana…
ab meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai…

 

 

is dil ke kharabe se guzar kis ka hoa hai…
aankhein bhi wohi hai hont bhi lehja bhi wohi hai…

 

 

jo kuchh bhi kaha tha meri tanhayi ne tujh se…
is shehar ki deewar pe likha bhi wohi hai…

 


woh jis ne diye mujh ko muhabbat ke khazane…
baadal ki tarah aankh se barsa bhi wohi hai…

 

Sameer +92 300 2711 588

 

~ Tum Bin ~

tags: , , , , , , , , ,

kai kaisay ~ +92 300 2711 588 ~

May 18, 2008 Author: Sameer | Filed under: Ghazal SMS, Poetry SMS

kai kaisay bataein us kai hay laihjay ka kya aser
kai jaisay ik deeya tareekeeyon ko cheeerta howa
kai jaisay barson say pyasi kissi zameen pai barish
kai jaisay sadyon say bay jan jisam per dum-a-eessa
wo haseen or wo khod aik chotay gher main raihtay hain
wo dono choti choti baton per rozz hastay raihaty hain
wo chota gher kai jahan her taraf khoshyan he khoshyan hain
wo chota gher kai jahan her taraf he pyar aayan hay
yai sapnay wo he bonta hay jissay umeed hoti hay
kai sapnay aik din sharminda-a-tabeer bhe hongay
mager aissa na ho tu phir………………
ager aissa na ho tu phir………………
wo sapnay tot jaein tu………………..
wo ger nakam ho ja a tu……………..
wo lub na moskoraein tu ……………
ager aissa na ho tu phir ………… ?
ager aissa na ho tu phir bohat takleef hoti hay
so jub tum pyar kerna tu kubhe iqraar mat kerna
kai ju iqraar kerta hay ussay umeed hoti hay
kai ju iqraar kerta hay ussay takleef hoti hay. …..

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

Tanha udaas ~ +92 300 2711 588 ~

May 18, 2008 Author: Sameer | Filed under: Ghazal SMS, Poetry SMS

Tanha udaas shamo main
ab kiyun phira karoon main
mujhe bhool janay walay
tujhe yaad kia karoon main

tere baad meri jana
ye sooch lia hai main nay
buhut ro lia hai ab tak
magar ab hansa karoon main

wafa nay woh di hai thokar
ke sambhalna hoa hai mushkil
wafa ka hai yehi hasil
to kiyun na jafa karoon main

muhabbat ki thi sirf main nay
saza kiyun mili hai mujh ko
saza mil gaee hai phir to
ab koi khata karoon main

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

tags: , , , , , , , , ,

Pucha Kisi Ne ~ +92 300 2711 588 ~

May 18, 2008 Author: Sameer | Filed under: Poetry SMS

Pucha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye
Pani Mein Aks Chand Ka Dekha To Ro Diye

Nagma Kisi Ne Saaz Par Chera To Ro Diye
Gancha Kisi Ne Shakh Se Tora To Ro Diye

Urdta Hoa Gubar Sar Rah Dekh Kar
Anjaam Hum Ne Ishq Ka Socha To Ro Diye

Badal Faza Mein Aap Ki Tasveer Ban Gi
Saya Koi Kahyal Se Guzra To Ro Diye

Rang-e-Shafq Se Aag Shagofon Mein Lag Gi
Mubeen Sagar Hamare Hath Se Jahlka To Ro Diye

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

tags: , , , , , , , , ,

Usoolon pe jo ~ 0300 2711 588 ~

May 18, 2008 Author: Sameer | Filed under: Ghazal SMS

Usoolon pe jo aanch aaye to takraana zaroori hai
Agar zinda hain to zinda nazar aana zaroori hai

Nayi umro ki khudmukhtaariyon (arrogance) ko kaun samjhaaye
Kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai

Thake haare parinde jab basere ke liye lautein
Saleeka mand saakhon ka lachak jaana zaroori hai.

Saleeka hi nahin shaayad use mahsoos karne ka
Jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai

Mere hothon pe apni pyaas rakha do aur phir socho
Ki iske baad bhi is duniya mein kuchh paana zaroori ha

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

tags: , , , , , , , , ,

pochnay walay ..

May 18, 2008 Author: Sameer | Filed under: Ghazal SMS

pochnay walay ..
tujhay kaisay batayin hum
dukh ibarat tu nahe , ju tujhay ko likh bhaijain
yai kahani bhe nahe hay , kai sonayin tujhko ..
na koi baat hay aissi kai batayin tujhko ko
zakum ho tu tairay nakhon kai hawalay ker dain ..
aaeena bhe nahe hay kai dikhayin tujhko ..
tu nay pocha hay ..
mager kaisay batayin tujhko ? ..

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

Ishq K Jitney Bhi Anjaam Yahaan Mumkin The

Apr 22, 2008 Author: Sameer | Filed under: Urdu SMS

Ishq K Jitney Bhi Anjaam Yahaan Mumkin The
Ho Chuke Dil Pe Jo Alhaam Yahaan Mumkin The

Khul Gaye Dil Pe Mere Ishq K Andaishoon Main
Jitne Aaghaaz K Anjaam Yahaan Mumkin The

Dil Tera Per Na Mila Gerche Sabhi Ker Dekhe
Baab Main Ishq K Jo Kaam Yahaan Mumkin The

Aao Veerana-E-Hasti Ko Munawwar Ker Lain
Kab Bhala Aise Subh-O-Shaam Yahaan Mumkin The

Chorna Na Tha Dar-E-Yaar Ko Her Giz Tujh Ko
Milne Us Shookh K Paighaam Yahaan Mumkin The

Husun Tera Jo Yahaan Aam Kabhi Ho Jaata
Hone Dastor-E-Wafa Aam Yahaan Mumkin The

Ho Ka Aalam He Yahaan Dil Main Mere Charoon Taraf
Mit Gaye Mitne Jo Abhaam Yahaan Mumkin The

Sammer +92 300 2711 588

Muhabat Se ~ 0300 2711 588 ~

Apr 21, 2008 Author: Sameer | Filed under: Ghazal SMS, Poetry SMS

Muhabat Se Inayat Se Wafa Se Chout Lagti Hai
Bhikarta Phool Hun Mujh Ko Hawa Se Chout Lagti Hai

Meri Ankhon Mai Ansoo Ki Tarha Ik Raat Aajaoo
Takaluff Se Banawat Se Aada Se Chout Lagti Hai

Main Shabnam Ki Zaban Se Phool Ki Awaz Sunta Hun
Ajab Ehsass Hai Apni Sadaa Se Chout Lagti Hai

Tujhe Khud Apni Majboori Ka Andaza Nahi Shayad
Na Ker Ehd-E-Wafa K Ehd-E-Wafa Se Chout Lagti Hai

tags: , , , , , ,

Sony Ericsson C901
Sony Ericsson
C901
Nokia 6730 classic
Nokia
6730 classic
Sony Ericsson T707
Sony Ericsson
T707
Samsung S5230W Star WiFi
Samsung
S5230W Star WiFi
Nokia 2700 classic
Nokia
2700 classic