tere paas aane ko jii chaahataa hai

tere paas aane ko jii chaahataa hai
naye zaKhm khaane ko jii chaahataa hai

 

idhar aaye shaayad vo mauj-e-tarannum
Gazal gungunaane ko jii chaahataa hai

 

zamaanaa meraa aazamaayaa huaa hai
tujhe aazamaane ko jii chaahataa hai

 

vahii baat rah rah ke yaad aa rahii hai
jise bhuul jaane ko jii chaahataa hai

 

labo.n par mere khelataa hai tabassum
jab aa.Nsuu bahaane ko jii chaahataa hai

 

ka_ii martabaa dil pe bijalii girii hai
magar muskuraane ko jii chaahataa hai

 

takalluf na kar aaj barq-e-tajallii
nasheman jalaane ko jii chaahataa hai

 

ruKh-e-zindagii se naqaabe.n ulaT kar
haqiiqat dikhaane ko jii chaahataa hai

 

 

 

Fahad

 

0301-6656568

Article Source

Related posts:

  1. Tere paas aane ko jii chaahataa hai Tere paas aane ko jii chaahataa hai naye zaKhm khaane...
  2. Ramadan jo aane wala hai Ramadan jo aane wala hai Kr lo, Kr lo jitni...
  3. Aur kitna intezar karu tere sms ka Mulk ki bhi ek sarhad hoti hai, Bacche ki bhi...
  4. Tere hotho ki hasi banane ka khwaab hai Tere hotho ki hasi banane ka khwaab hai… Tere aaghosh...
  5. Tere bina Tere bina ye man manena Tere bina raat bitena Tere...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Leave a Reply

Optimized by SEO Ultimate