Aaj dareechay main woh aana bhool gaya

Aaj dareechay main woh aana bhool gaya
main bhi apna diya jalana bhool gaya,

aaj mujhe bhi uski yad nahi aayi
woh bhi mere khuwab main ana bhool gaya,

bahaar ne jub se aana chore diya
mousam bhi apna phool khilana bhool gaya,

chalte chalte main usko gher lay aayi
woh bhi muj se apna hath chudana bhool gaya,

khat likha hai par khat ke koney par
woh apni ankh ka ansoo mitana bhool gaya

rooth ke dono aik jaga baithey rahey
main usko woh mujko manana bhool gaya

Article Source

Related posts:

  1. Un ka kiyaa dil main asay sama gaya Un ka kiyaa dil main asay sama gaya.. Sehra main...
  2. Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana Sirf...
  3. Tumhain Main Bhool Jaoon Ga Tumhain Main Bhool Jaoon Ga, Magger Waada Nahi KertaHamiasha Muskuraoon...
  4. Ankhon ko intizar ka de ker hunar chala gaya Ankhon ko intizar ka de ker hunar chala gaya chaha...
  5. Ae dost tu bhi eid-e-mulaqaat bhool ja Guzre hue wasal ke din raat bhool ja Milne na...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Leave a Reply

Optimized by SEO Ultimate