Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiya
Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiya
Mousam ki tarah badal jaon tujhey is say kiya
Chot khaon ya zakham lagay, ya ahsas-e-ghum mein tarpon
Mein gir jaon ya sanbhal jaon tujhey is say kiya
Mussartaon ko daikh ker bay qarar ho jaon
Ya tofan-e-ghum say behal jaon, tujhey is say kiya
Hansta daikh ker hans paron, rota daikh ker ro paron,
Halat k sanchay mein dhal jaon, tujhey is say kiya
Zararot nahin ab kisi hamsafar ki saaqi,
Janib-e-manzil tanha nikal jaon, tujhey is say kiya
Related posts:
- behar-e-ishq main doob k daikh kabhi behar-e-ishq main doob k daikh kabhi jaam-e-mohabbat pee k daikh...
- Chahay jitna bulaao ge wapas na aaon ga main Aasmaan ki banhoon mein sama jaon ga Chahay jitna bulaao ge wapas na aaon ga mainAasmaan ki...
- Tujhey Main Tujhey Main Bhool to Jata Magar Terey Taluq se Jo...
- bichdane wale ko yaad main kiya doge bichdane wale ko yaad main kiya doge , sote hue...
- Bun jaon agar tum sa tumhain Bun jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga Her...
Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.


