Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon
zindagi main terey baray main kahan tak sochon

Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay
aur main sirf paroosi k makaan tak sochon

Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai
main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon

Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain
tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon

Related posts:

  1. Shama ko kahan shok hey parwaney ko jalaney ko Shama ko kahan shok hey parwaney ko jalaney ko,...
  2. poetry kash hum samjh letay, manzilon ki chahat main! rasta...
  3. Aisa DOST kahan har kisi ke paas hota hay Ashq bahay to ahsaas hota hay, Pyar k bina...
  4. Fizaoo main rang Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra…...
  5. Yahan chahton ka sila nahi Yahan chahton ka sila nahi,yahan dosti ka maza nahi,...

Related sms brought to you by Love sms.