aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina

aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,
Yaad karna bhi usey roo, bhula bhi daina,

Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki,
Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina,

Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin,
Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi karna,

Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say,
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi daina,

Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin,
Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina,

Soorat-e-naqsh-e-qadatm, dasht main rehna,
Apnay honay say na honay ka pata bhi daina

Article Source

Related posts:

  1. Aaj dareechay main woh aana bhool gaya Aaj dareechay main woh aana bhool gaya main bhi apna...
  2. bheje main bheja hi nahin bheja, GOD nay aap ko bheja to bheja, Laikin bheja tu...
  3. Merey sabar ka na ley Imtehaan Merey sabar ka na ley Imtehaan Meri khaamoshi ko sada...
  4. Zikar se dil ko aabad karna Zikar se dil ko aabad karna Zikar se dil ko...
  5. Wafa ruswa nahi karna Wafa ruswa nahi karna… Suno aisa nahi karna Mai pehle...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Leave a Reply

Optimized by SEO Ultimate