Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do

Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do
Apni muskurahatain apna bholapun day do
Apni ankhain baksh do apna husn nawaz do

Apna sakhan day do apnay dil ka dhun day do
Tumharay dum say meray jevan mein khushiyain hain bahar hay

Mein kuch kehna chahta hon mujhey tumse mohabbat hay, mujhey tum se pyar hay
Meri in khuwahishon ko umid ki koi kiran day do

Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydo
Tumhary siwa koi nahi meri soch, meray giyan mein
Meray as pas, meray door tuk, meray thory say wajdan mein

Mein nay zara si khushbo mangi hay kub kaha chaman daydo
Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydo

K jub tum door chalay jao koi to tanhai mein sahara ho
Tumhari zaat say mansoob kuch to hamara ho
Mujhey meray khuwab mujhey meray dulhan day do

Meri zindagi lay lo mujhey apna daman day do
Agar apni zaat say kuch bhi daina nahin chahtay
Mujhey apnay dukh apni aakhon ko sawan day doo

Article Source

Related posts:

  1. Dil mein ab dard-e-mohabbat Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin zindagi...
  2. Mein Haqeeqat Houn Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey Khud Jalaatey...
  3. Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey bahoun mein apni...
  4. Agar mein bata don mein kia chahti hon Agar mein bata don mein kia chahti hon nazron say...
  5. KOI KUCH BHI KAHE KOI KUCH BHI KAHE.KOI KUCH BHI LIKHE..DIL KI BAATO KO...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Leave a Reply

Optimized by SEO Ultimate