baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk

ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk

ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qayam rakhna, tum meray mer jaanay tuk

itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,
aa hi gayai tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk

Related posts:

  1. Guzar gaee raat aankhon aankhon main Guzar gaee raat aankhon aankhon main Ho gaee mulaqaat...
  2. Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi...
  3. Meri aankhon main raho meri aankhon main raho Meri aankhon main raho meri aankhon main raho, Roshni...
  4. Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,...
  5. behar-e-ishq main doob k daikh kabhi behar-e-ishq main doob k daikh kabhi jaam-e-mohabbat pee k...

Related sms brought to you by Love sms.