Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs

Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs,
Hua chiragh to ghar hi jala gaya aik shakhs,

Tamam rang meray aur saray khuwab meray,
Fasanay thay k fasana bana gaya aik shakhs,

Mein kis hawa main uron kis fiza mein lehraon,
Dukhon key jaal her su bicha gaya aik shakhs,

Mohabbaton nay kisi ki bhula rakha tha issey,
Milley woh zakhm k phir yaad aa gaya aik shakhs,

Khula yeh raaz k aina khana hai duniya,
Aur is main mujhey tamasha bana gaya aik shakhs…!

Article Source

Related posts:

  1. Ankhon ko intizar ka de ker hunar chala gaya Ankhon ko intizar ka de ker hunar chala gaya chaha...
  2. Hasti E Gham Bana Gaya Mujh Ko Hasti E Gham Bana Gaya Mujh KoAik Haseen Khuwab Dikha...
  3. Aankho Ke Saamne Kal, Jo Aapka Rumaal Aa Gaya Aankho Ke Saamne Kal, Jo Aapka Rumaal Aa Gaya, Kaise...
  4. Aankho Ke Saamne Kal, Jo Aapka Rumaal Aa Gaya Aankho Ke Saamne Kal, Jo Aapka Rumaal Aa Gaya, Kaise...
  5. Chand Love You. jaane kyun wo saanso ki dor tootne nahi deta bas...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Leave a Reply

Optimized by SEO Ultimate