Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey
Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey
Aansuon sey dil k koney nam naheen hote
Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee
Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote
Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee
Band kamron men koyee mausam naheen hote
Jab khushee hai naachtee gaatee hai man kee har kalee
Un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote
Pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee
Kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote
Yaad to karte hain unko ham sadaa hee raat din
Khwaab men unke kabhee kyaa ham naheen hote
Related posts:
- Us ne chaahaa bhi tujhe aur jataayaa bhi naheen pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen kaisaa...
- kuch din to baso merii aa.Nkho.n me.n kuch din to baso merii aa.Nkho.n me.n phir khuwab agar...
- majnu ko laila ka sms naheen aaya majnu ko laila ka sms naheen aaya, majnu ne 3...
- Yahan wahan kyon dekh rahy ho Yahan wahan kyon dekh rahy ho (‘_’ ) ( ‘_’)...
- Wo Khuwaab thaa Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin magar...
Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.


