Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega

Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega

Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega

Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega

Related posts:

  1. Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega Itna Mat Chaaho...
  2. yehi naasih ~ 0300 2711 588 ~ yehi naasih jo hamein tujh se na milney ko kahain...
  3. kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch...
  4. Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs, Hua chiragh...
  5. Koi hai jo apko iskadar chahta hai HAR RAASTA EK SAFAR CHAHTA HAI, HAR MUSAFIR EK HUMSAFAR...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.