har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,

Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko,
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,

Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay,

Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,

Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay

Related posts:

  1. Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay, Dard-o-gham ko...
  2. Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain, Shaam...
  3. Her khushi main tumhari bat kartay hain Her khushi main tumhari bat kartay hain, Tum salamat raho...
  4. Koi mousam bhi hum ko raas nahin Koi mousam bhi hum ko raas nahin woh nahin hay...
  5. AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain Dard Seene Main Chupa...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.