Jo mausam beet jata hai
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata
yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata
who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata
bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata
kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata
bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata
Related posts:
- HAR SATHIKO HUMSAFAR BANAYA NAHIN JATA HAR SATHIKO HUMSAFAR BANAYA NAHIN JATAHAR RISHTA ZINDAGE BHAR NIBHAYA...
- Benaam Sa Ye Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata, Jo Beet...
- Beetay Huwe Dinon Ko Bhulaya Nahi Jata Jo Roo Rahay Hon Unko Rulaya Nahi Jata Hasnay Beetay Huwe Dinon Ko Bhulaya Nahi JataJo Roo Rahay Hon...
- Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai, Aasman lakh...
- baarishon ka mausam baarishon ka mausam hai rooh ki fizaaon main ghumzada hawayen...
Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.


