Jo Meri aankhon se Khuwab dekho

Jo Meri aankhon se Khuwab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay

K Laakh Chaho Na Hans sako gay
Hazaar chaho na Ro Sako gay’

K Khuwab kya hain Azaab Hain yeh
Mere Dukhon ki kitaab hain yeh

Rifaqatain In main Chotti hain
Mohabbatain in main Roothti hain

Pinapti Hain In main Vahshatain see
Aziatain In main Photti hain

Un hi ke Dar se Khizaan Hain Jazbay
Un hi se shakhain see tot’ti hain

Ghamon ki Bandish hain Khuaab mere
Ahal Raha hai Dukhon ka Lava

Rahen Aatish hain khuwab Mere
Khayal sare Jhulaas gay hain

Sulagti Khuahish hain khuaab Mere
Ukharrti Sansain hain Zindagi ki

Lahu ki Sazish hain Khuaab Mere

Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay!

Article Source

Related posts:

  1. Meri aankhon main raho meri aankhon main raho Meri aankhon main raho meri aankhon main raho, Roshni ban...
  2. Guzar gaee raat aankhon aankhon main Guzar gaee raat aankhon aankhon main Ho gaee mulaqaat aankhon...
  3. Mere dil ki dunya Main Aa Ker To Dekho Mery dil ki dunya main aa ker to dekho tumhien...
  4. Dil Se Dil Lagakar To Dekho Dil Se Dil Lagakar To Dekho Hamari Yaadon Mein Aansoo...
  5. Honton Sy kabi hont mila kr dekho…. Honton sy kabi hont mila kr dekho….. Mujy apny nazdik...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Leave a Reply

Optimized by SEO Ultimate