Jo na mil saka wo baywafa
yeh bare ajeeb si baat hai

jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai…

Wo roshni kay khayal main
wo na asaka raah mian muntazir

yeh khalish kahan thi visaal main
mere justojoo ko khabar nahi

na wo din rahay na wo raat rahay
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai..
Kary pyar lab pay koi gila na hoo

yeh kissi kissi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahi

wo juda bhi rehkay qareeb hai
wo aankh hai mere ru baru

ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai
mera nam tak jo na lay saka

jo mujhay qarar na day saka
jissay ikhtiyaar tau tha magar

mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs mere talassh hai

wohi dard mere hayaat hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak meray saath ha

Related posts:

  1. Kabhi Moom Ban K Pighal Gya utr……..Kabhi Girte Girte Sambhal Gya…… Wo Ban k Lamha...
  2. Mere qareeb raha phir b mujko parh na saka Mere qareeb raha phir b mujko parh na saka...
  3. Saath chalne main jo maza hota Saath chalne main jo maza hota Woh humain bhi...
  4. Dil hi nahi jis say sansain bhi mein jor gaya Dil hi nahi jis say sansain bhi  mein jor...
  5. Hoa Hai Insaaf Se Bezaar Mera Dil Bewafa Ho Hoa Hai Insaaf Se Bezaar Mera DilBewafa Ho Tum...

Related sms brought to you by Love sms.