Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,

Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo

Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan,
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo

Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo

Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..

Related posts:

  1. Guzar gaee raat aankhon aankhon main Guzar gaee raat aankhon aankhon main Ho gaee mulaqaat...
  2. Dil ke tukde jod ke baithe hai Sapne sare torr ker baithe hai,dil k arman chor...
  3. baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk...
  4. Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta...
  5. Jab yaad karo gay tab chalay aingay Hum apni dosti ko yaadon say sajaingay Door rah...

Related sms brought to you by Love sms.