kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch

wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch

waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch

Related posts:

  1. Jo na mil saka wo baywafa Jo na mil saka wo baywafa yeh bare ajeeb...
  2. Bari Mushkil se hum raat ko Bari Mushkil se hum raat ko aasman se aap...
  3. Kitni bar mile Kitni bar mile hain lekin Aaj bhi yun lagta...
  4. Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega Terey merey darmiyaan...
  5. Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta...

Related sms brought to you by Love sms.