Koi mousam bhi hum ko raas nahin
Koi mousam bhi hum ko raas nahin
woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin
aik muddat say dil k paas hay woh
aik muddat say dil udas nahin
jub say daikha hay shaam aankhon mein
tub say meray qayaim hawas nahin
meray lehjay mein us ki khushbo hay
us ki baaton mein meri baas nahin
Jitna Shaffaf hay tera aanchal
Utna ujla mera libaas nahin
samnay meray aik darya hay
hont sokhay hain phir bhi pyas nahin
jis ko chaha hay dil-o-jan say saqi
janay woh kion nazar shinaas nahin
Related posts:
- Dil mein ab dard-e-mohabbat Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin zindagi...
- har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka, har...
- Socha nahin Socha nahin acha bura Dekha suna kuch bhi nahin Maanga...
- HUM AAP KO KABHI KHONEY NAHIN DENGE HUM AAP KO KABHI KHONEY NAHIN DENGE JUDA HONA CHAHO...
- Dost dushman nazar nahin atay Dost dushman nazar nahin atay Ab to pather bhi ghar...
Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.



love u
bhool janey k tumko kasey main tasawar kar loon mairi her saans se wabasta hain yaaden tum harin miss u so much