Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…!

Related posts:

  1. har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,...
  2. Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay, Dard-o-gham...
  3. Bohat hi yaad aata hai Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata...
  4. Meri Mohobbat Ka Ehsas Kar Agar Kar Sake Meri Mohobbat Ka Ehsas Kar Agar Kar SakeTu Bhi...
  5. HUM AAP KO KABHI KHONEY NAHIN DENGE HUM AAP KO KABHI KHONEY NAHIN DENGE JUDA HONA...

Related sms brought to you by Love sms.