Meri aankhon main raho meri aankhon main raho,
Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.!

Tera wada bhi na siyasi ho,
Ab fazaon mein na udasi ho!
Chuu k qadmon ko her khushi guzray,
Kash ab yun hi zindagi guzray!
Tum meray sath meray din meri raaton main raho,
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho!

Pyaar mera tujh say kahta hay,
Dil ki dharkan mein tu hi rehta hay!
Preet main teri ban k kho jaon,
Meera k jaisi tu bhi hoo jayai!
Ban k radha tum meri murli ki tano main raho,
Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho.!!

Tujhey chaha hay tujhay chahonga,
Mai na chahat say ba’az aaonga,
Teri ulfat k jhulay ain jhulun,
Saath tu day tou aasman chu lun,
Gungunaon main tujhay, dil k taron main raho,
Meri aankhon mein raho, Meri aankhon mein raho

Related posts:

  1. Guzar gaee raat aankhon aankhon main Guzar gaee raat aankhon aankhon main Ho gaee mulaqaat...
  2. Jo Meri aankhon se Khuwab dekho Jo Meri aankhon se Khuwab dekho To Aik shab...
  3. Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai...
  4. Sweet raho CADBURY ki Tarah Sweet raho CADBURY ki Tarah; Fresh raho CLOSEUP ki...
  5. baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk...

Related sms brought to you by Love sms.