Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko

Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko

Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko

Youn to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko

Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maut nay payar say pehloo main bithaya mujh ko

Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko

Kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko

Related posts:

  1. Wo apni saari nafratein mujh pay lutata raha Wo apni saari nafratein mujh pay lutata raha….Mera dil jis...
  2. Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, Khud bula...
  3. Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,...
  4. Ab k Mujh Ko Ab k Mujh Ko Dekh K Wo Dekhta Reh Jayega...
  5. Tere qareb aa kay bari uljhano main hon Tere qareb aa kay bari uljhano main hon, Main dushmanon...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.