Us ne chaahaa bhi tujhe aur jataayaa bhi naheen

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen

beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen

roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen

tum to shaayar ho ‘Qateel’ aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen

Article Source

Related posts:

  1. Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey Aansuon...
  2. majnu ko laila ka sms naheen aaya majnu ko laila ka sms naheen aaya, majnu ne 3...
  3. Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum, Bas yahi ek...
  4. Khuda tujhe urooj aisa naseeb kare Khuda tujhe urooj aisa naseeb kare, kay rashk tere naseeb...
  5. Tujhe Udas B Kerna Tha Tujhe Udas B Kerna Tha Aur Khud B Rona Tha...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Leave a Reply

Optimized by SEO Ultimate