usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,

Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,

Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,

Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia,

Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker,
Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,

Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia

Related posts:

  1. 2009 beet gaya Aap ke SMS k intezar mai yado ki dhoop jali,tamnnao ke sawan ke badphir vo chand...
  2. Kaash dil ki hasrat poori ho jayai Kaash dil ki hasrat poori ho jayai, Aap dain miss...
  3. Kaash dil ki hasrat Kaash dil ki hasrat poori ho jayai, Aap dain miss...
  4. Kia MIla Usey Khoon-E-Tamana Ker K Kia MIla Usey Khoon-E-Tamana Ker K Rakh Dia Hai Uss...
  5. Exams ke 4 din pehle syllabus dekha to yaad aaya, Exams ke 4 din pehle syllabus dekha to yaad aaya,...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.