Wo Khuwaab thaa

Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin

har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin

wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin

ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin

hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin

Article Source

Related posts:

  1. Ye aarazu hai k jab bhi gale lagaauun use Ye aarazu hai k jab bhi gale lagaauun use hisaar-e-zaat...
  2. kuch din to baso merii aa.Nkho.n me.n kuch din to baso merii aa.Nkho.n me.n phir khuwab agar...
  3. Khuwaab Min Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Khuwaab Min Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut,...
  4. Koi mousam bhi hum ko raas nahin Koi mousam bhi hum ko raas nahin woh nahin hay...
  5. Zamana pyaar Zamana pyaar ka itna hi kam hay Yeh na jana...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Leave a Reply

Optimized by SEO Ultimate