Ye aarazu hai k jab bhi gale lagaauun use
hisaar-e-zaat se baahar nikaal laauun use

vo jal raha thaa kari dhuup ki tamaazat mein
milaa jo ab to ohrhaa duungaa apani chaa’onn usey

ye ishq bhi hai ajab imtihaan-e-ahad- e-wafaa
wo aazamaaye mujhe aur main aazamaauun use

wo shahar shahar chiraagaan sahi magar ek din
hawaayein yaad dilaayeingi apnaa gaana usey

wo apne khuwaab mein shaayad mujhii ko dekhta ho
main tashnaa lab sahi sote mein kyaa jagaauun use

Related posts:

  1. A Dost! teri yaad buhat aati hay A Dost! teri yaad buhat aati hay Tanhai mein...
  2. usey yaad ker k na dil dukha usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar...
  3. Kia MIla Usey Khoon-E-Tamana Ker K Kia MIla Usey Khoon-E-Tamana Ker K Rakh Dia Hai...
  4. aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,...
  5. Mohabbat hum bhi kertay hain Mohabbat hum bhi kertay hain magar shikwa nahi kertay...

Related sms brought to you by Love sms.