soya nahi hoon mujhe sula do meri maan

aa jaao mujhe loori suna do meri maan

ashk meri aankhoon main jam say gaye hain

kerkay dil pay jaber mujhe rula do meri maan

dekho kitni bay tarteeb ho gaye hay zindagi

bikhray hain meray baal bana do meri maan

aik karb say aashna rehta hoon her ghadi

is dard ka ahsaas mitta do meri maan

jal reha hoon main andekhi aag main

chomo mera mattha aag bujha do meri maan

bohat darr lagta hay mujhe duniya say

tum mujhe duniya say chhupa do meri maan

thak gaya hoon bohat duniya say ladtay ladtay

tum mujhe apni aaghosh main panah do meri maan…!!…

Related posts:

  1. Qisa KHYBER ka sunaya to bura maan gae Qisa KHYBER ka sunaya to bura maan gae! Aaiena unko...
  2. Tumhein Hi To Zindagi Kehta Hoon Tumhein Hi To Zindagi Kehta HoonTumhein Hi Dekh Kar To...
  3. DELIVERY ward main hoti hoon ik Nurse ka Mangaitar usay bari hasrat se: "Jaanu kash...
  4. Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena Bikhar Rahi...
  5. kya meri nak tedi hai kya meri nak tedi hai. ankhen mendki jesi hai. surat...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.