Ankhon ko intizar ka de ker hunar chala gaya
chaha tha aik shaks ko jane kidher chala gaya

din ki wo Mehflain gaye raaton ke rut-jage gaye
koi samait kar mere shaam-o-sahar chala gaya

jhonka hai aik bahar ka rung-e-khayal yaar bhi
her-soo bikher bikher gaye khushbo jidher chala gaya

is ke he dum se dil main aaj dhoop bhi chandni bhi hia
de ke wo apni yaad ke shams-o-qamar chala gaya

kocha ba kocha dar-badar kab se bhatuk raha hai dil
hum ko bhula ke rah wo apni dagar chala gaya

tags: , , , , , , , , ,

43 Things Tags:

Related posts:

  1. Aankho Ke Saamne Kal, Jo Aapka Rumaal Aa Gaya Aankho Ke Saamne Kal, Jo Aapka Rumaal Aa Gaya,...
  2. Ek admi chupke se jannat main chala gaya Ek admi chupke se jannat main chala gaya farishto...
  3. Aankho Ke Saamne Kal, Jo Aapka Rumaal Aa Gaya Aankho Ke Saamne Kal, Jo Aapka Rumaal Aa Gaya,...
  4. Aur kitna intezar karu tere sms ka Mulk ki bhi ek sarhad hoti hai, Bacche ki...
  5. Aaj dareechay main woh aana bhool gaya Aaj dareechay main woh aana bhool gaya main bhi...

Related sms brought to you by Love sms.