Chaahhat Ka Rung Tha Na Wafa Ki Lakeer Thii
Qaatil Ke Haath Main Too Hina Ki Lakeer thii

Khush Hoon Ke Waqt-e-Qatal Mera rung Surkh Tha
Merey Labon Pe Too Harf-e-Dua Ki Lakeer Thii

Main Karwaan Ki Rah Samajhta Raha Jisse
Sehra Ki Reit Pe Woh Hawa Ki Lakeer Thii

Sooraj Ko Jis Ne Shab Ke Andheiron Main Gum Kia
Mouj-e-Shafaq Na Thii Woh Qaza Ki Lakeer Thii

Guzra Hai Shab Ko Dasht Se Shaid Woh Pardah Daar
Her Naqsh-e-Pa Ke Saath Rida Ki Lakeer Thii

Kal Uss Ka Khat Mila Ke Saheefa Wafa Ka Tha
Mohsin Her Ek Satar Haya Ki Lakeer Thii

tags: , , , , , ,

Related posts:

  1. wafa ka naam na lo yaaro wafa dil ko dukhati hai, wafa ka naam na lo yaaro wafa dil ko...
  2. safar-e-manzil-e-shab yaad nahii.n safar-e-manzil-e-shab yaad nahii.n log ruKhsat huye kab yaad nahii.n...
  3. Aap k haath main mobile hai Aap k haath main mobile hai.. Chehray pay khubsorut...
  4. Jub Jub MaIN Jub Jub MaIN Ney Mohbbat Pai Nazam Likhe Tab...
  5. Mera Woh Ho Jo Negahon Main Haya Rekhta Ho Mera Woh Ho Jo Negahon Main Haya Rekhta HoHer...

Related sms brought to you by Love sms.