Dekha jo woh ~ 0300 2711 588 ~

Dekha jo woh jaam teri yaad aagayi…
yeh shaam tere naam, teri yaad aagayi…
Har koi Janata tha mujhe tere naam se…
Pucha kisi ne naam, Teri yaad aagayi

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

=========

Tang aghosh mein abaad kerun ga tujh ko,
Hun bohat shad, k nashad kerun ga tujh ko,
Fiker-e-ijad mein gum hun mujhy ghafil na samajh,
Apnay andaz say ijaad kerun ga tujh ko,
Nasha he raah ki duri ka k hamraah he tu,
janay kis shehar mein abaad kerun ga tujh ko,
Meri bahon mein behakny ki saza bhi sun lay,
Ab k buhat dair say azaad kerun ga tujh ko,
Mein k rehta hun buhat zuraizan tujh say,
Tu na ho ga to bohat yaad kerun ga tujh ko…

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

========

AGAR TUM AYENA DEKHO
TO APNAY AAP SAY NAZREN CHURA LAINA
KA AKSAR
BAY WAFA LOGON KO
JAB WOH AYENA DEKHIEN
TO
ANKHEEN CHOOR LAGTI HAIN

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

=========

Dard itna tha k us raat
Dil-e-wehshi nay
Her rag-e-jaa.n say ulajhna chaha
Her bun’e mu say tapakna chaha
Aur kahi.n duur teray sehn’e chaman mein goya
Patta patta meray afsurda lahu mein dhul ker
Husn-e-mahtaab sai aazarda nazar aanay laga
Meray virana-e-tan mein goya
Saray dhuktay huay raisho.n ki tanabain khul ker
Silsala waar pata dainay lagi.n
Ruksat-e-kaafla-e-shauk ke tyaari ka
Aur jab yaad ke bujhti hui shammo.n mein nazar aaya kahi.n
Aik pal aakhri lamha teri dildari ka
Dard itna tha kay us say bhi guzarna chahaa
Hum nay chahaa bhi magar dil na thehrna chahaa…

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

=========

kaha tha na….
mujhay tum iss tarha sotay huay mat chor k jana
mujhay baishak jaga dena
bata dena
zindagi k safar mei meray sath chal nahi sakhti
khuwaishon k safar mei meray sath chal nahi sakhti
tumhain rasta badalna hai
meri hadh se nikala hai
tumhain kis baat ka darr tha
tumhain janay nahi deta ?
kahin pe qaid ker leta ?
aray Pagli
Mohabbat ki haqeeqat mei zabardasti nahi hoti
jissay rasta badlna ho ..
ussay rasta badlnay se
jissay hadh se nikalna ho
usay hadh se nikalnay se
na koi rok paiya hai na koi rok paye ga
meray sathi haqeeqat hai
tumharay baad khonay k lia kuch bhi nahi baki
magar khonay se darta hon
mei abb sonay se darta hon

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

===========

har taraf thi ba-wafa logon ki bheer
ek wohi tha be-wafa acha laga…
q mohabat ho gayi us sey
kia batain hum ko kia acha laga…

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

============

samundar say kabhi bujhi nahi pyas maan ki
jaab taak raha pyaasa he raha
aab to sagar labon ki talash hai
jis main dhob janay ka bhe gam nahi

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

==========

log kehte hain to logon pe tajjub kaisa
sach to kehte hain ke naadaaron ki izzat kaisi
log kehte hain magar aap abhi tak chupp hain
aap bhi kahiye ghareebon main sharafat kaisi

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

==========

Kabhi Roke Muskuraye, Kabhi Muskurake Roye,
Unki Yaad Jab bhi Aayee, Unko Bhulake Roye,
Ek Unhi ka Hi Naam tha Jise Hazaar Baar Likha,
Jise Khush hue thae, Likhar Usse Mithake Roye…

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

=========

aaj tak qaim hai os ke laut ke ane ki omeed
aaj tak tehri hoye hai zindagi apni jagha
lakh ye chaha hai ke os ko bhool jaon par qateel
hosle apne jagha hain bebasi apni jagha

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

Article Source

Related posts:

  1. yehi naasih ~ 0300 2711 588 ~ yehi naasih jo hamein tujh se na milney ko kahain...
  2. oye hello ~ 0300 2711 588 ~ ‘,’) oye hello .!!. (‘,’) sun rahe ho ke .!!....
  3. Dard B De ~ 0300 2711 588 ~ ~ (( 0300 2711 588 )) ~ Dard B De...
  4. Main Ny Har ~ 0300 2711 588 ~ Main Ny Har Bar Tujh Sy Miltay Waqt Tujh Sy...
  5. Ab ke sawan ~ 0300 2711 588 ~ Ab ke sawan(rain) mein paani barsa bahut, Paani ki har...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Leave a Reply

Optimized by SEO Ultimate