Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko
Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon,
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko

Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein,
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko

Vaada Utna Hi Karo Jitna Bibha Saktay Ho,
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujko

Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Baram Rakh Lena
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujko

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko

Article Source

Related posts:

  1. Tumhain Bhulne Ki Qasam Bhula Betha Hoon Tumhain Bhulne Ki Qasam Bhula Betha Hoon Dil Main Ik...
  2. Tumhein Hi To Zindagi Kehta Hoon Tumhein Hi To Zindagi Kehta HoonTumhein Hi Dekh Kar To...
  3. Tanha udaas ~ +92 300 2711 588 ~ Tanha udaas shamo main ab kiyun phira karoon main mujhe...
  4. Aisa na kar keh mujko tujse ijazat bhi na mile Aisa na kar keh mujko tujse ijazat bhi na mile,...
  5. Sau khaluus baton mein,sab karam khayaalon mein Sau khaluus baton mein,sab karam khayaalon mein,Bass zra wafaa kamm...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Leave a Reply

Optimized by SEO Ultimate