Kaha tha kis ne ke ahad-e-wafa karo uss se Jo yoon kiya hai to phir kyun

Kaha tha kis ne ke ahad-e-wafa karo uss se
Jo yoon kiya hai to phir kyun gila karo uss se

Ye ahl-e-baz tunak hausala sahi phir bhi
Zara fasana-e-dil ibtida karo uss se

Yeh kya ke tum hi gham-e-hijr ke fasaney kaho
Kabhi to uss ke bahaney suna karo uss se

Naseeb phir koi taqreeb-e-qarb ho ke na ho
Jo dil mein ho’n wohi baatein kiya karo uss se

Faraz tark-e-ta’alluq to khair kiya hoga
Yehi bahut hai k kam kam mila karo uss se

tags: , , , , , ,

Article Source

Related posts:

  1. Bhul se kabhi hame bhi yaad kiya karo Bhul se kabhi hame bhi yaad kiya karo, Pyar nahi...
  2. Us Bewafa Ko Na Aya Hamari Wafa Pe Yakeen Arz kiya h- Us Bewafa Ko Na Aya Hamari Wafa...
  3. wafa ka naam na lo yaaro wafa dil ko dukhati hai, wafa ka naam na lo yaaro wafa dil ko dukhati...
  4. Aaj phir doston ne mujhse pocha Aaj phir doston ne mujhse pocha K tera hasta hua...
  5. bichdane wale ko yaad main kiya doge bichdane wale ko yaad main kiya doge , sote hue...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Comments are closed

Optimized by SEO Ultimate