koi waqt purana yaad aaya
koi waqt purana yaad aaya
koi door sohana yaad aya
aur chaak se in deewaaron pr kuch likh kr jana yaad aya
tere milna neem ki chhaon main aur sar rakh dena kaandhe pr
mera ye kehna koi daikh na le tera wo ghabrana yaad aaya
kabhi aisa bhi to hota tha main tujko chorne jata tha
jab wapas aane lagta tha tera hath hilana yaad aya
wo waqt gaya lamhe beete ab hr janib tanhai hai
ab aik hai manzar ankhon main tera chhor k jana yaad aya
Related posts:
- purana waqt… koi waqt purana yaad aya,koi doar suhana yaad aya, or...
- Exams ke 4 din pehle syllabus dekha to yaad aaya, Exams ke 4 din pehle syllabus dekha to yaad aaya,...
- Exams ke 4 din pehle syllabus dekha to yaad aaya, Exams ke 4 din pehle syllabus dekha to yaad aaya,...
- Exams ke 4 din pehle syllabus dekha to yaad aaya Exams ke 4 din pehle syllabus dekha to yaad aaya,...
- Purana saal sabse ho raha hai door Purana saal sabse ho raha hai door,Kya karein yahi hai...
Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.


