sapny kaisay baat karain
khadshon ki zanjeer pari hay
neend bhari sab aankhon main
sapny kaisay baat karain
sapny kis say baat karain
jin logon ka rasta taktay
umrain rizq-e-khak huin
ab woh log aur un kay sapny dekhnay wali
aankhin bujh kar raakh huin
raakh kay is anbar main hongay
kaisay kaisay khawab zinda
khawabon ki is raakh ko lakin
cheray kon?
jis raston per chaon na pani
us per deeray dalay kon?
jis mitti main rait mili ho
us main kaisay bagh lagain
dariya hi payab hun jab to
us main kashti kiya lay jain
khushboo aik awara jhonka
is jhonkay ko gheery kon
kaisay duniya ko batlaon
tum hotay ho mery kon!!!

+92 333 9968 674

~ Tum Bin ~

Related posts:

  1. Kaisay bataoon ~ +92 300 2711 588 ~ Kaisay bataoon main tumhain,,,,,,,, Kaisay bataoon main tumhain meray...
  2. ho gai un say mohobbat ye haseen baat hui ho gai un say mohobbat ye haseen baat huiaysa...
  3. KHAWBO KI BAAT KHAWBO KI BAAT HO NA KHAYALO KI BAAT HO,...
  4. Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey bahoun mein...
  5. Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi...

Related sms brought to you by Love sms.