Sau khaluus baton mein,sab karam khayaalon mein

Sau khaluus baton mein,sab karam khayaalon mein,
Bass zra wafaa kamm hai terey shehar vaalon mein,

Pehli baar nazron nay chaand boltay dekha,
Hum javaab kya detey kho gaye sawaalon mein,

Meri aankh kay taarey abb na dekh paaoogay,
Raat kay musaafir thay kho gaye ujaalon mein,

Jaisay aadhi shabb kay baad chaand neend mein chaunkay,
Voh gulaab kee zumbish unn siyaah baalon mein,

tags: , , , , , , , , ,

Article Source

Related posts:

  1. Kar dia pagal humein uski baton ne Kar dia pagal humein uski baton ne,Hey sataya humein sari...
  2. Kar dia pagal humein uski baton ne Kar dia pagal humein uski baton ne,Hey sataya humein sari...
  3. Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k Khud bhi...
  4. Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai , Ke BeRukhi Mein Bhi, Mera Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai ,Ke BeRukhi...
  5. Sunehri dhoop barsaat k baad Sunehri dhoop barsaat k baad, Thori si hansi her baat...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Comments are closed

Optimized by SEO Ultimate