Tere paas aane ko jii chaahataa hai

Tere paas aane ko jii chaahataa hai
naye zaKhm khaane ko jii chaahataa hai

Idhar aaye shaayad vo mauj-e-tarannum
Gazal gungunaane ko jii chaahataa hai

zamaanaa meraa aazamaayaa huaa hai
tujhe aazamaane ko jii chaahataa hai

Wahii baat rah rah ke yaad aa rahii hai
jise bhuul jaane ko jii chaahataa hai

Labo.n par mere khelataa hai tabassum
jab aa.Nsuu bahaane ko jii chaahataa hai

Ka_ii martabaa dil pe bijalii girii hai
magar muskuraane ko jii chaahataa hai

Takalluf na kar aaj barq-e-tajallii
nasheman jalaane ko jii chaahataa hai

RuKh-e-zindagii se naqaabe.n ulaT kar
haqiiqat dikhaane ko jii chaahataa hai

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

tags: , , , , , , , , ,

Article Source

Related posts:

  1. tere paas aane ko jii chaahataa hai tere paas aane ko jii chaahataa hai naye zaKhm khaane...
  2. Ramadan jo aane wala hai Ramadan jo aane wala hai Kr lo, Kr lo jitni...
  3. Tere bina Tere bina ye man manena Tere bina raat bitena Tere...
  4. Meray paas aik buri khabar hai Munna: Meray paas aik buri khabar hai, aur aik buhat...
  5. Aaj kuch kami si hai tere bagher, Aaj kuch kami si hai tere bagher, Na rang na...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Leave a Reply

Optimized by SEO Ultimate