tum chalay gayay aur tasweer tumhari reh gai
kehnay waali thin jo baateyn wo saari reh gai

tumhari yaad ne kal shab bohot sataaya mujhe
meri aankhon may dekho kaysi khumaari reh gai

ibteda-e-ishq may yun garm hue thay magar ab
shola-e-jaan sard hua, bas ik chingaari reh gai

huaa jab ilm, kay wo aaj bhee nahee aayay
husn aur ishq kee saaree tayyaaree reh gai

nazar miltay hi yun aapas may mil gayay 2 dil
kuch zara kaam na aai saari hushiyaari reh gai

ajab jazbaat say us nay jo pukaara: MANA!!
haya ankho me aur chehre pe sharm-saari reh gai

+92 300 2711 588
+92 333 9968 674

~ Tum Bin ~

Related posts:

  1. Oye, maar gayay yaar. MAMU : Oye, maar gayay yaar. Meri biwi aur...
  2. TUMHARI YAAD MEIN.. tumhari yaad kabhi apne khayalon se juda hone nahi...
  3. Is hawa me khushbu hai tumhari, Is hawa me khushbu hai tumhari, is chand ki...
  4. Zara si Mobile men de jagah tu Zara si Mobile men de jagah tu Zara sa...
  5. Tumhari is ada ka kya jawad du Tumhari is ada ka kya jawad du, apne dost...

Related sms brought to you by Love sms.