Tumhain Main Bhool Jaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Hamiasha Muskuraoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Tumhari Her Nishaani Ko Main Deriyaa Burd Ker Doon Ga
Tumharay Khat Julloon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Tumhara Zikar Mehfil Main Huwa To, Khamosh Rehna Hai
Main Khud Ko Aazmaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Tujhay Wapis Bullana Hai, Nah Daini Hai Sadaa Koee
Main Yoon Dil Ko Manaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Challo Yeh Teh Huwa Humdum, Hijr Kay Geet Koee Bhi
Kabhi Nah Gungunaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Challo Tum Say Yeh Waada Hai, Keh Dil Main Dard Hain Jitnay
Kissi Ko Nah Sunaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Sitaro Neend Kay Maro, Challo Khawboun Ki Dunia Main
Main Bhi So Hee Jaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Challo Yeh Tumm Say Waada Hai, Koee Bhi Qeemti Mouti
Nah Aankhoon Say Giraoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Related posts:

  1. Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai...
  2. Tumhain ab bhool hi jayain tou acha hai Tumhain ab bhool hi jayain tou acha hai, Yeh...
  3. Aaj dareechay main woh aana bhool gaya Aaj dareechay main woh aana bhool gaya main bhi...
  4. muhabtoon ka pta chalay ga had-e-jana say guzar huwa to muhabtoon ka pta chalay...
  5. USKi Yaad Pichle pehr ki rat thi, tanhai or uski yad...

Related sms brought to you by Love sms.