Kaisay bataoon ~ +92 300 2711 588 ~

Kaisay bataoon main tumhain,,,,,,,,
Kaisay bataoon main tumhain meray liay tum kon ho,
Tum dherkano ka geet ho,
Tum jeevan ka sangeet ho.
Tum zindagi , tum bandagi, tum roshni , tum taazgi, tum hr khushi
Tum pyar ho ,,,
Tum preet ho, manmeet ho,
Aankhon main tum , yaadon main tum,
Saanson main tum, aahon main tum,
Tum ho meri hr baat main , tum ho mray din raat main.,
Tum subho main,tum shaam main,,
Tum soch main , tum kaam main,,
Meray liay paana bhi tum, mray liay khona bhi tum
Meray liay hasna bhi tum , meray liay rona bhi tum
Jaaun kahin , daikhoon kahin,,
Tum ho vahan , tum ho vahin,
Kaisay bataoon main tumhain meray liay tum kon ho,,,,
Yai jo tumhara roop hai
Yai serdion ki dhoop hai,
Yai shokhiaan,,,,,yai mastiaan
Honton pe kaliaan khil gain, ankhon ko jheelain mil gain
Chehray main simti chandni,, avaaz main hai raagni
Sheeshay k jaisa ang hai, phoolon k jaisa rang hai
Nadion k jaisi chaal hai,, kia husn hai kia khaal hai,,,
Yai jism ki rangeeniaan jaisay hazaron titliaan,,
Yai nagriaan hain khaab ki,
Kaisay bataoon main tumhain , halat dil e baitaab ki,,,,
Kaisay bataoonmain tumhain meray liay tum kon ho,,,,,,,
Meray liay rasta bhi tum , mray liay mazil bhi tum,,
Meray liay sager bhi tum , meray liay sahil bhi tum,,,
Main daihta bs tum ko hoon,
Main sochta bs tum ko hoon
Main jaanta bs tum ko hoon, main manta bs tum ko hoon
Tum hi mri pehchaan ho
Kasiay bataoon main tumhain , devi ho tum meray liay
Meray liay tum bhagvaan ho,
Kaisay bataoon main tumhain meray liay tum kon ho,,,,,
Kaisay bataoon main tumhain meray liay tum kon ho,,,,,

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

==========================

zarurat hi nahi alfaz ki

dosti to cheez hai Ehsaas ke

pass hote to manzar hi kiya hota

door sa bhi khabar hai hume aapki har saans ki……!!!!!!

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

===================

MOHABBAT
tumhain zid hai ka main kah doon
mujay zid hai ka tum kah doo
ka mujay tum sa muhabbat hia
nahin yeh jaanta doonoon
muhabbat kab bahla mohtaj hai lafzoon ki ,batoon ki .
mohabbat too humara dill ki darhkanoon main chuppa surili geet ki manid..
muhabbat aankh main palta woo pur israr jazba hai jissa aab tak nahin koi samaj paya
na is ki koi soorat na is ka koi paimana
dhakka lafzooon main to is ka bohat izhar hoota hia
kuch aisa hi ka jaisa aab
taha-e-dill sa too hum doonoon bohat izhar karta hain ,
magar pher na jaana kioon
tumahian zid hai ka main kah doon
mujay zid hai ka tum kah doo
ka mujay tum sa …………..

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

=====================

JAhaan Phoolon ko khilna thaa
WAhin Khiltay toh acha tha
Tum He Ko Hum ne Chaha Thaa
Tum He Miltay Toh ACha Thaa
Tumhe KAise BAtain hum
ke tumhe kaise bhulayaa hai
tumhe gham ko ashkoon se shab e gham main jalaya hai
hazaroon zakhm aesay thay
agar siltay toh achaa thaa
tumhe ko hum ne chaha thaa
tumhe miltay toh achaa thaa

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

==========================

Na Khas Ban Ke Mila Karo…. Na Aam Ban Ke Mila Karo….
Mujhe Meri Tarha Se Tum…… Benaam Ban Ke Mila Karo…….
Mana Ke Ye Faraib Hai ……….. Ye Faraib Bhi DilFaraib hai…….
Sehraoun ke Sarab Mein…….. Tum Sham ban ke mila karo……
Gar Janchna Ho Dard Ko………. Gar Dekhna Ho Tarp Ko……….
Mujhay Tashnagi ke Alam ain.. TUM jam ban kar mila karo….

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

=======================

Sari Haqeqaton Ko Khuwab Kar Kay
Umar Bhar Ki Khushiyoun Ko Sarab Kar Kay
Badal Gaya Hai Woh Chahaton Say
Meri Aadaton Ko Kharab Kar Kay

Sameer +92 300 2711 588~ Tum Bin ~

Article Source

Related posts:

  1. sapny kaisay baat karain sapny kaisay baat karainkhadshon ki zanjeer pari hayneend bhari sab...
  2. kai kaisay ~ +92 300 2711 588 ~ kai kaisay bataein us kai hay laihjay ka kya aser...
  3. Aisa Nahi ~ +92 300 2711 588 ~ Aisa Nahi k tujhse mohabat nahi humein, ghum roz roz...
  4. Koi Baat ~ 0300 2711 588 ~ Koi Baat Aisi Kia Karo Koi Baat Aisi Kia Karo,...
  5. Dekha jo woh ~ 0300 2711 588 ~ Dekha jo woh jaam teri yaad aagayi… yeh shaam tere...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.

Leave a Reply

Optimized by SEO Ultimate