Mili hay aaj zamane ki har khushi muj ko
Tumare pyar ne bakshi hay zindagi muj ko
Na tan ka hosh na aanchal ki sudh na dil ki khabar
Yeh kis muqam pe le ayi bekhudi muj ko

Meri khazaon main rang_e_bahar layi ho
Andheri raat main mehtab ban k ayi ho
Mili hay aaj andhere main roshani muj ko
Yeh kis muqam pe le ayi bekhudi muj ko

Hamare hathoon main humdam yeh tera hath rahe
Har ek moor pe sathi tu sath sath rahe
To phir qabool hay duniya ki dushmani muj ko
Tumare pyar ne bakhshi hay zindagi muj ko

Shabab_o_rang main dubi huy fazayeen hain
Gazal k sooz pe mehki huy hawayeen hain
Sunayi deti hay qudrat ki shaeri muj ko
Yeh kis muqam pe le ayi bekhudi muj ko

Sameer

+92 300 2711 588

+92 333 9968 674

~ Tum Bin ~

Related posts:

  1. Suniye kareeb Suniye kareeb a k Yeh dil ka fasila Mere...
  2. Zamanay ko jalnay do chalo aik sath chalte hain Zamanay ko jalnay do chalo aik sath chalte hain,...
  3. Zindagi K Kisi Mor Per Khud Ko Tanha Na Samjhna Zindagi K Kisi Mor Per Khud Ko Tanha Na...
  4. baarishon ka mausam baarishon ka mausam hai rooh ki fizaaon main ghumzada...
  5. Log ishq kartay hain baray shor kay sath Log ishq kartay hain baray shor kay sath, Humne...

Related sms brought to you by Love sms.