Salam_e_mohabbat
Bara khubsurat
Bara dilruba hay
Jabhi to meri jaan
Machalta huwa dil
Tumain kah raha hay salam
Salam_e_mohabbat

Yeh kiya berukhi hay
aji kuch to bolo
Kaheen yeh khamoshi
Sada ban na jaye
Meri jaan tumari
Yehi beniyazi bilakhir
Peamein wafa ban na jaye
Is inkaar main bhi
Tumari raza hay

Zara apni palkon k
Piche to jhanko
Umangoon ka sholah
Bharakne laga hay

Woh dil jis ko pathar
Banaya hay tu ne
Woh pathar bhi ab to
Dharakne laga hay
Yeh ulfat naheen hay
To phir aur kiya hay

Khalish pyaar ki tum
Chupaoo ge kaise
Mohabbat huy hay
To ikraarkar lo

Agar hum naheen hain
Wafaoon k kabil
Jise chahte ho
Use pyaar kar lo
Abhi tak jahan main
Yehi kuch huwa hay

Jabhi to meri jaan
Machalta huwa dil
Tumain kah raha hay
Sallam
Salam_e_mohabbat

Sameer +92 300 2711 588

Related posts:

  1. Suniye kareeb Suniye kareeb a k Yeh dil ka fasila Mere...
  2. Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey...
  3. Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu Ab...
  4. Mere Liye Meri Dunya Ho Tum Mere Liye Meri Dunya Ho TumChoo Kar Jo Guzri...
  5. Us ne chaahaa bhi tujhe aur jataayaa bhi naheen pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen...

Related sms brought to you by Love sms.