<< 0300 2711 588 >>

Tumne har baar mujhe ek bahaar ka sapna diya..
Har mulaqaat par ek agaaz ka sapna diya….
Par aaj dekhta hun jab main khud key aks ko…
Tere khayaal ne phir se mujhe ruswa kiya….

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

Mujhe tum kyun roz sata jaate hoo…
Main kitna tanha hun ye kyun bataane aate ho.
Jab kaha tha tumhen maine k saaath raho zindagi bhar..
Us baat ke jawaab ka zikr kyun yaad dila jaate ho..
aaj thehra hua sa aks mera teri badoulat hi to hai……
Meri tanhaaiyon mein aakar kyun mujhe aur sazaa dete ho..
Ruki hui si zindagi ke benishaan lamhon mein…..
Kyun tum baar- baar apna ehsaas kara jaate ho..
jaanta hun k tab main tere kaabil bhi na tha……
Par aaj bhi is baat ko lekar mujhe kyun jala jaate ho..
maine to har baar duaon mein teri khushi chaahi..
Par phir bhi kyun aaj tum meri tanhaaii pe muskurate ho…

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

Mujhe khabar thi woh mera nahin paraayaa tha..
Par dharkanon ne usi ko khuda banaaya thaa..
Main khwaab khwaab jise dhoondhata phira barson..
Wo ashq ashq meri aankh mein samaayaa tha..

Sameer +92 300 2711 588

~ Tum Bin ~

Related posts:

  1. khush rahe khush rahe ya udaas rahe zindagi tere aas pas rahe...
  2. soya nahi hoon mujhe sula do meri maan soya nahi hoon mujhe sula do meri maan aa jaao...
  3. hujay bhujay say hujay bhujay say ajeeb din hain Khuwab hai na khayal...
  4. A Dost! teri yaad buhat aati hay A Dost! teri yaad buhat aati hay Tanhai mein mujhe...
  5. Kia Uski Jagti Kia Uski Jagti AAnkhon Mein Meri Yaad Se Pehli Udaasi...

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.