Page 195

Yaad mein teri jahan ko

bhool jaati hoon mein… Oh bhoolnewale, Kabhi tujko bhi yaad aati hoon mein ? Jitni masoom hoon mein aapse bichhadkar , Itnee siddat se to aapne muje chhaha bhee nahi… 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Isko Hi Jeena Kehte Hain

To Yunhi Ji Lenge Uf Na Karenge Lab See Lenge Aansoo Pee Lenge Gham Se Ab Ghabraana Kaisa Gham Sau Baar Mila ............0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588 ==

Bichhad Gayaa Har Saathi Dekar

Pal Do Pal Ka Saath Kisko fursat Hai Jo Thamey Deewane Ka Haath Humko Apna Saaya Tak Aqsar Bezaar Mila

Jaane Woh Kaise Log The

Jinke Pyar Ko Pyar Mila Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaaton Ka Haar Mila

kyaa kahoN tum se main

ke kyaa hai ishq jaaN kaa rog hai, balaa hai ishq ishq hii ishq hai jahaaN dekho saare aalam mein bhar rahaa hai ishq ishq maashuuq ishq aashiq hai yaani apanaa hii mubtalaa hai ishq ishq hai tarz-o-taur ishq ke taaiin kahain bandaa kahain Khudaa hai ishq kaun maqsad ko ishq bin pahuNchaa aarazuu ishq vaa muddaa hai ishq koyii Khvaahan nahi mohabbat kaa tuu kahe jins-e-naarawaa hai ishq hum to ji zard hote jaate hain kyaa kahain tum ne bhii kiyaa hai ishq ? 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Sham aaj kiun hum se lipatt'ti

Sham aaj kiun hum se lipatt'ti hay saba too ne aey dost bulaya to nahi dil k aangan main bhattakte saaye kuch yahan too ne ganwaaya to nahi tere chehre pe taghaiyur kiun hay haal e dil humne sunaya to nahi shaam ddhalti hay to main sochta hoon zindagi mout ka saya to nahi "SHAM" g khoay se rehte ho sada kia koi dil main samaaya to nahi 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

or unhen mosam ki shidat

se bachaatay kis tarha hain kis tarha mazboot rakhte hain samandar kab kisi k ghar main aata hay sitaare kab drawing room main utray parindon ne ahan school kholay hain magar hum to kisi k muntazir hain na jaanay kon aay ga? na jaanay kab wo aay ga....0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

parindo! hum tumhaare muntazir hain k

parindo! hum tumhaare muntazir hain k hum to taaqat e parwaaz ab rakhte nahi hain hum ik doosre k par to khud hi kaatt dete hain tumhen zehmat to hogi,aa k samjhaao paron ko qenchiyon se kis tarha mehfooz rakhte hain shikaari ki nigaahen kis tarha se bhaanp lete hain jahan ho daam humrang zameen to kistarha urrna hay aazaadi bachaani hay kisi barsaat se pehlay kisi toofaan se pehlay pohanch jaatay hain kaise aashiyaanon ghonslon main

sitaaro! hum tumhaare muntazir hain kisi

sitaaro! hum tumhaare muntazir hain kisi din tum drawing room main utro k sarrkon pe to ab hum aa nahi sakte bataao, ab humara kia muqadar hay humaare rahnuma kiun rahbari k fan se a'aari hain tumhen zehmat to hogi unko samjhaao andhere main kisi ko raasta kaise dikhaatay hain? shabon main phelti aaloodgi se kis tarha daaman bachaatay hain?

samandar! hum tumhaare muntazir hain humaare

samandar! hum tumhaare muntazir hain humaare zarf gehraaii se aari hochuke hain tumhen zehmat to hogi,aa k samjhaao k gehraaii main paani kaise behta hay? sukoon chehre pe daaim kaise rehta hay wo jab aati hain pooray chaand ki raaten to kaise josh aata hay? kinaaron se zamaanay se baghaawat kaise hoti hay?

hum ab sab muntazir hain poori

hum ab sab muntazir hain poori shidat se magar kis k...? khabar kis ko...? magar sab muntazir hain

sundar komal sapano.n kii baaraat

guzar ga_ii jaanaa.N dhuup aa.Nkho.n tak aa pahu.Nchii hai raat guzar ga_ii jaanaa.N bhor samay tak jis ne hame.n baaham ulajhaaye rakhaa vo albelii resham jaisii baat guzar ga_ii jaanaa.N sadaa kii dekhii raat hame.n is baar milii to chup ke se Khaalii haath pe rakh ke kyaa sauGaat guzar ga_ii jaanaa.N kis ko.npal kii aas me.n ab tak vaise hii sar-sabz ho tum ab to dhuup kaa mausam hai barasaat guzar ga_ii jaanaa.N log na jaane kin raato.n kii muuraade.n maa.Ngaa karate hai.n apanii raat to vo jo tere saath guzar ga_ii jaanaa.N .........0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588 (`“•.¸(`“•.¸ SaaMer +923002711588¸.•“´) ¸.•“´)

vo to Khushbuu hai havaao.n

me.n bikhar jaayegaa masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa kyaa Khabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaayegaa vo havaao.n kii tarah Khaanaa_bajaa.N phirataa hai ek jho.nkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye mausam-e-gul mere aa.Ngan me.n Thahar jaayegaa aaKhirash vo bhii kahii.n ret pe baiThii hogii teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa

tum rooth jao mujh se,aisa

kabhi na ho main ek nazar ko tarsoo,aisa kabhi na ho main pooch pooch haroon so so sawal kar k tum kuch jawab na do,aisa kabhi na ho kuch me bhi junooni hoon kuch meri muhabbat bhi ye junoon tham na jai,aisa kabhi na ho mere hi saath hansna,mujh se hi milke rona mujh se bichar k jilo,aisa kabhi na ho tum chand ban k rehna main dekhti rahoon gi koi raat tum na niklo,aisa kabhi na ho. 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Uss nay Khat main Ishq ka

Uss nay Khat main Ishq ka Matlab Pooch liya hai Mein nay Likha hai Jab Koi Chehra Dhiyaan Mein Akar Maan Angan mein Phool Khila day Jab Koi Naam Labon ko Choo kar Dharkano ki Tarteeb Bhula day Jab koi Jazba Kar-e-Junoon se Atish ko Gulzar bana day Laikin Itna Dhiyaan mein Rakhna Koi Siraat-e-Ishq se Guzry Tab Khulta hai ISHQ se Pehlle ISHQ ka Matlab kab Khulta hai ................0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Chand lamhe bache hain tere

mere saath ke Mumkin hai ke bichar jaaye bina mulakat ke Kahan ansuon ki ye saugat hogi Naye log honge nayi baat hogi Main har haal me muskurata rahunga Gar tumhari dosti mere saath hogi Chiragon ko mehfooz rakhna aankho main Badi door tak andheri raat hogi Musafir hoon main bhi Musafir ho tum bhi Phir kahin kisi mod par mulaqat hogi 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

HALAKAT KHAYZ HAI OLFAT MAYRI HER

HALAKAT KHAYZ HAI OLFAT MAYRI HER SAANS KHOONI HAI ISSI BAAIS YEH DIL KI NAGRI KABROW SAY BHI SOONI HAI HAI OSSAY MAY ZEHREELI KHOSHBO OW K RANGEEN HAAR DAYTA HOWN JISSAY MAY PIYAR KRTA HOWN OSSAY MAY MAAR DAYTA HOWN

Jaane Woh Kaise Log The

Jinke Pyar Ko Pyar Mila Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaaton Ka Haar Mila Bichhad Gayaa Har Saathi Dekar Pal Do Pal Ka Saath Kisko fursat Hai Jo Thamey Deewane Ka Haath Humko Apna Saaya Tak Aqsar Bezaar Mila Isko Hi Jeena Kehte Hain To Yunhi Ji Lenge Uf Na Karenge Lab See Lenge Aansoo Pee Lenge Gham Se Ab Ghabraana Kaisa Gham Sau Baar Mila ...............0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Bichar bhi to ham bas

kal parson Jioon ga main kaise, is haal mein barson Maut na aayi teri yaad kyon aayi Hay lambi judai Chaar dinon ka pyaar ho rabba Badi lambi judai, lambi judai Honthon pe aaye meri jaan duhai Hay lambi judai Chaar dinon ka pyaar ho rabba Badi lambi judai, lambi judai Ek to sajan mere paas nahin re Duje milan di koi aas nahin re -2 Uspe yeh sawan aaya -2 Aag lagaayi, hay lambi judai Chaar dinon ka pyaar ho rabba Badi lambi judai, lambi judai Toote zamaane tere haath nigode, haath nigode Dil se dilon ke tune sheeshe tode, sheeshe tode Hijr ki oonchi, hijr ki oonchi deevaar banaayi Hay lambi judai Chaar dinon ka pyaar ho rabba Badi lambi judai, lambi judai Baag ujad gaye, baag ujad gaye khilne se pehle Panchhi bichhad gaye milne se pehle -2 Koyal ki kook, koyal ki kook ne hook uthaayi Hay lambi judai Chaar dinon ka pyaar ho rabba Badi lambi judai, lambi judai Honthon pe aaye meri jaan, duhai Hay lambi judai Chaar dinon ka pyaar ho rabba Badi lambi judai, lambi judai ..0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

mujh main jo kuchh achchhaa

hai sab us kaa hai meraa jitanaa charchaa hai sab uskaa hai us kaa meraa rishtaa baraa puraanaa hai main ne jo kuchh sochaa hai sab us kaa hai merii aaNkhen us kii nuur se roshan hain main ne jo kuchh dekhaa hai sab us kaa hai main ne jo kuchh khoyaa thaa sab us kaa thaa main ne jo kuchh paayaa hai sab uskaa hai jitanii baar main TuuTaa huuN vo TuuTaa thaa idhar udhar jo bikharaa hai sab us kaa hai 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

tum merii aaNkh ke teyvar

na bhulaa paaoge ankahii baat ko samajhoge to yaad aauuNgaa ham ne Khushiyon kii tarah dukh bhii ikaTThe dekhe safaah-e-ziist ko palToge to yaad aauuNgaa isii andaaz main hote the muKhaatib mujh se Khat kisii aur ko likhoge to yaad aauuNgaa sard raaton ke mahakate hue sannaaTon main jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aauuNgaa ab tere ashk main honThon se churaa letaa huuN haath se Khud inhen ponchhoge to yaad aauuNgaa shaal pahanaayegaa ab kaun disambar main tumhen baarishon main kabhii bhiigoge to yaad aauuNgaa aaj tum mahafil-e-yaaraaN pe ho maGaruur bahut jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aauuNgaa haadase aayenge jiivan main to tum hoke niDhaal kisii diivaar ko thaamoge to yaad aauuNgaa is main shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aauuNgaa 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

ashk aaNkhon main kab nahiin

aataa lahuu aataa hai jab nahiin aataa hosh jaataa nahiin rahaa lekin jab vo aataa hai tab nahiin aataa dil se ruKhasat huii koii Khvaahish giriyaa kuchh be sabab nahiin aata ishq kaa hausalaa hai shart varnaa baat kaa kis ko dhab nahiin aataa jii men kyaa kyaa hai apane ae hamdam har suKhan taa ba lab nahiin aataa 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Teri yaadon ke bina koi

lamha guzaara nahin Ek pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin Meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye Agar aap jeete hain to main haara nahin Ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se Maine abhi aapka gam dil se utaara nahin Tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein Kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin Kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala Aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin Kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum Is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin Mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab Gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin Wo aa ke poonchh den Aansu hamari Aankhon se Itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

haal-e-dil main ne jo duniyaa

ko sunaanaa chaahaa mujh ko har shaKhs ne dil apanaa dikhaanaa chaahaa apanii tasviir banaane ke liye duniyaa main main ne har rang pe ik rang charhaanaa chaahaa Khaak-e-dil jauhar-e-Aaiinaa ke kaam aa hii gai laakh duniyaa ne nigaahon se giraanaa chaahaa sholaa-e-barq se gulashan ko bachaane ke liye main ne har aag ko siine main chhupaanaa chaahaa apane aibon ko chhupaane ke liye duniyaa main main ne har shaKhs pe ilzaam lagaanaa chaahaa Gairat-e-mauj use phenk gai saahil par Duubane vaale ne jab shor machaanaa chaahaa 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

umr jalvo.n me.n basar ho

ye zaruurii to nahii.n har shab-e-Gam kii sahar ho ye zaruurii to nahii.n chashm-e-saaqii se piyo yaa lab-e-saaGar se piyo beKhudii aaTho.n pahar ho ye zaruurii to nahii.n nii.nd to dard ke bistar pe bhii aa sakatii hai unakii aagosh me.n sar ho ye zaruurii to nahii.n sheKh karataa to hai masjid me.n Khudaa ko sajade usake sajado.n me.n asar ho ye zaruurii to nahii.n sab kii nazaro.n me.n ho saaqii ye zaruurii hai magar sab pe saakii kii nazar ho ye zaruurii to nahii.n 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~)

Kaash mein terey haseen haath

ka Kaash mein terey haseen haath ka kungan hota Toou barey chaao se, barey maan ke saath Apni nazuk si kalaai mein charhati mujh ko Aur betaabi se furqat ke khizaan lumhoon mein . Toou kissi soch mein doobi jo ghumaati mujh ko Mein terey haath ki khusboo se mehek sa jata Jab kabhi mood mein aa kar mujhey chooma karti Terey honton ki mein hiddat se dehek sa jata Raat ko jub bhi toou neendon ke safar par jati Murmareen haath ka ek takiya banaya karti Mein terey kaan se lug kar kai baatein karta Teri zulfon ko terey gaal ko chooma karta Jub bhi tu bund qaba kholney lugti janaan Apni aankhon ko terey husn se kheera karta Mein teri rooh ke gulshan mein mehekta rehta Mein terey jisem ke aangan mein khanakta rehta Kuch nahin tu yahi be-naam sa bandhan hota Kaash mein terey haseen haath ka kungan 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588 ==

kuchh to havaa bhii sard

thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii dil ko Khushii ke saath saath hotaa rahaa malaal bhii baat vo aadhii raat kii raat vo puure chaa.Nd kii chaa.Nd bhii ain chet kaa us pe teraa jamaal bhii sab se nazar bachaa ke vo mujh ko aise dekhate ek dafaa to ruk ga_ii gardish-e-maah-o-saal bhii dil to chamak sakegaa kyaa phir bhii taraash ke dekh lo shiishaagaraan-e-shahar ke haath kaa ye kamaal bhii us ko na paa sake the jab dil kaa ajiib haal thaa ab jo palaT ke dekhiye baat thii kuchh muhaal bhii merii talab thaa ek shaKhs vo jo nahii.n milaa to phir haath duaa se yuu.N giraa bhuul gayaa savaal bhii shaam kii naasamajh havaa puuchh rahii hai ik pataa mauj-e-havaa-e-kuu-e-yaar kuchh to meraa Khayaal bhii us ke hii baazuuo.n me.n aur us ko hii sochate rahe jism kii Khvaahisho.n pe the ruuh ke aur jaal bhii 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Sometimes I wanted to say

what I feel for you, but I'm afraid of losing you... Sometimes I wanted to show my love for you but I'm afraid of fallinf in love again... Sometimes I wanted to love you but I'm afraid to be hurt again... Sometimes I'd like to hug you, and kiss you to ease the pain inside you, but I'm afraid of touching you... Sometimes I wanted to be with you, and love you more not knowing that I'm here for you... This sometimes wer the important I'll treasure, and if sometimes is forever I will love you more than anything. I love you, I hope you knew that I sincerely loving you true... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Hum ne Seekha nahi Shikway

Shikayatian karna HUm to Gham ko bhi seenay main saja latay hain 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

ap sirminda na hon dast-e-karam

say apne merey daman ke mukadar main hai khali rahina

yah hi Mezaaj hai aap

kisi ka dil na dukhay Judaion ko bhi chaha hai kurbaton ki terhan

Dil naumeed to nahi- nakam

hi to hai lambi hai gham ki shaam - magar sham to hai

Humain to aapne hi yaroon

ne Ruswa kar dia kh baat khuch bhi na thi or wazahatin thi bahoot

Tu ne chaha he nahi

warna halaat badal sakte they,tere ankhon k ansoo mere ankhon se nikal sakte they,tu ne lafzoon ki taaseer ko parkha he nahi warna,naram lehje se to pathar b pighal sakte they 03214288314 "'~DON~'"

Sab se chupa ker dard

ko wo muskura dia,Uski hansi nay to aaj mujh ko rula dia,Lehjay se uth rahi thi har ik dard ki dastan,Chehra bata raha tha k sab kuch ganwa dia,Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi,Aur keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya,Janay kya usko logon se thein shikayatein,Tanhaiyon k dais mai khud ko basa dia,Khud bhi woh hum say bicher k adhora sa ho gaya,Mujh ko bhi itnay logon mein tanha bana dia 03214288314 "'~DON~'"

Nazar milake humse nazar chura

na lena,Dost bana k hume gava na dena.Mana k hum door hain apse, isi baat ko bahana banake hume bhulana dena 03214288314 "'~DON~'"

Rishta aisa hona chahiye jo

hame apna maan sake,hamare hr dukh ko jan sake,chal rahe hon agr hum tez barish me,phir bhi wo pani me se aansu ko pehchan ske 03214288314 "'~DON~'"

pyaar k deep jlanay walay

kuch kuch pagal hotay hein....! apni jaan say jane walay kuch kuch pagal hotay hein....! hijr k gehray zakhm milay to muj ko yeh ehsaas huwa...! pagal ko samjanay walay kuch kuch pagal hotay hein..! jaan say pyare logoon say kuch kuch parda lazim he..! sari baat btanay walay kuch kuch pagal hotay hein..! uss k ishq men bheeh k hasham hum ko yeh ehsaas huwa..! dil ki batoon mein anay walay kuch kuch pagal hotay hein...! 03327866049

kon apna tha yahan kis

pe inayat kertee hameen to hasrat hi rahi ki hum bi muhabat kerte uss ne samjh hi nahin kisi kabil warna hum us see ishq nahin uski ibadat kerte

Wo na i un ki

yad aa kr wafa kr gai Unse milne ki tamana sukun tabah kr gaiAhat hui socha asar dua kr gaiDarwaza khola to dekha mazak hum se hawa kar gai. "~' DON '~" "~' 0321-4288314'~"

Us ki chaht main hm

zmana bhool gae,us k bad kisi ko apnana bhool gae,us se mohabat hai, btaya sare zmane ko,bas ye baat us ko btana bhool gae

Nazar se nazar milaao k

raat cut jaey..,koi ghazal hi sunao k raat cut jaey..,ye door rehna tumhara to ik azaab sa ha..,hamaray pas to aao k raat cut jaey. "~' DON '~" "~' 0321-4288314'~"

"Jo dard k sehra mein

akaila bhi boht tha, Us k liy dewar ka saya bhi boht tha, Dekha nahin tanhai mein tum ne kabi us ko,Bichry huay logon ko woh roya bhi boht tha,Na tujh ko yaqen tha mohbt per na us ki wafa per,Kuch dukh us ki taqder mein likha bhi baht tha,Benai andharon se bhala kasy bachta,aik shakhs tare hijar mein jaga bhi boht tha,Woh aur hein jo chooh k tumhin dekhna chahte thy, us ke leye tu tera khabon mai rahna he boht tha.. "~' DON '~" "~' 0321-4288314'~"

Aaj dur se hi koi

salaam kr gya, apni yadon ka hmen gulaam kr gya, apni zindgi girwi rakh kr kharida tha jise, aaj wohi hmen neelam kr gya... "~' DON '~" "~' 0321-4288314'~"

Teri yaad main bohat BEGham

likhte hain,teri yaad main guzri wo SHAAM likhte hainwo qalam be tera ASHEQ ho jata hajis se hum tera NAAM likhte hain! "~' DON '~" "~' 0321-4288314'~"

hum rat ki tunhai may

ap ko awaz diya kertay hain, sitaron say aap ka zikr kiya kertay hain,aap yaad kro ya naa karo hum phr bhi aap ko yaad kiya kartay hain.. uzma 03009201168

Ek arsay se yeh ankhen!Soyi

nahi,Hansi nahi,Royi nahi,Mili nahi,Khoi nahi,Ek bat thidil men.Jo Ap sekahi Nahi. K"AP JAISA AurKOI NAHI". "~' DON '~" "~' 0321-4288314'~"

DIL KI BAAT HUM SE

NA CHUPAYA KARO HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO DOOR RAHTE HO KION PAAS AAYA KARO TERA JALWA KABHI HUM NE DEKHA NAHIN KABHI CHEHRA HUMEN TO DIKHAYA KARO ROZ GHERON KI MAJLIS MAIN JATE HO TUM KABHI TO APNO KI MAHFIL SAJAYA KARO HUM RANJEEDA BHI HAIN NEEM DEEDA BHI AA KE DIL TUM HAMARA BEHLAYA KARO TERI MAJBOORION KI KHABAR HAI MUJHE BAAT BAAT PER KASMEIN NA KHAYA KARO TERE WAADE PE HUM NE BHAROOSA KIA KUCH TO ULFAT KA TUM BHI HAQ NIBHAYA KARO CHAHNE WALE KI CHAHAT PE KAR LO YAKEEN ROSHNI MAIN DIYE NA JALAYA KARO HUM BHI HUM RAAZ HAIN TUM BHI HUM RAAZ HO DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO. 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

woh aik wada jo kisi khamosh

woh aik wada jo kisi khamosh lamhe may.. kisi k pyar may.. jazbaat may.. kisi ki faqat aik muskurahat ko.. koi aas dilaane ko.. dil ki pyaas bujhane ko.. do pal ki khushi k liay.. do pal ki hansi k liay.. kiya ho tumne k haan hum sath hain aur hamesha saath rahainge.. kisi pal may younhi bethe hue.. jazbaat may behte hue.. koi yaqeen dilaya ho k hum saari khushyan saare ghum saath dekhainge.. to suno.... kisi waday se pehle bas yeh khiyal ker lena.. koi wada kisi ki zindagi berbaad na ker de..!! 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588