Urdu sms messages

If you have a girlfriend, boyfriend, wife, husband...a secret lover. Then these cute love messages and love quotes are for you. Romantic text messages galore find the perfect message to send to your lovers Mobile Phone.

haal-e-dil main ne jo duniyaa

ko sunaanaa chaahaa mujh ko har shaKhs ne dil apanaa dikhaanaa chaahaa apanii tasviir banaane ke liye duniyaa main main ne har rang pe ik rang charhaanaa chaahaa Khaak-e-dil jauhar-e-Aaiinaa ke kaam aa hii gai laakh duniyaa ne nigaahon se giraanaa chaahaa sholaa-e-barq se gulashan ko bachaane ke liye main ne har aag ko siine main chhupaanaa chaahaa apane aibon ko chhupaane ke liye duniyaa main main ne har shaKhs pe ilzaam lagaanaa chaahaa Gairat-e-mauj use phenk gai saahil par Duubane vaale ne jab shor machaanaa chaahaa 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Teri yaadon ke bina koi

lamha guzaara nahin Ek pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin Meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye Agar aap jeete hain to main haara nahin Ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se Maine abhi aapka gam dil se utaara nahin Tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein Kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin Kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala Aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin Kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum Is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin Mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab Gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin Wo aa ke poonchh den Aansu hamari Aankhon se Itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Yaad mein teri jahan ko

bhool jaati hoon mein… Oh bhoolnewale, Kabhi tujko bhi yaad aati hoon mein ? Jitni masoom hoon mein aapse bichhadkar , Itnee siddat se to aapne muje chhaha bhee nahi 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588 ==

ashk aaNkhon main kab nahiin

aataa lahuu aataa hai jab nahiin aataa hosh jaataa nahiin rahaa lekin jab vo aataa hai tab nahiin aataa dil se ruKhasat huii koii Khvaahish giriyaa kuchh be sabab nahiin aata ishq kaa hausalaa hai shart varnaa baat kaa kis ko dhab nahiin aataa jii men kyaa kyaa hai apane ae hamdam har suKhan taa ba lab nahiin aataa 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

tum merii aaNkh ke teyvar

na bhulaa paaoge ankahii baat ko samajhoge to yaad aauuNgaa ham ne Khushiyon kii tarah dukh bhii ikaTThe dekhe safaah-e-ziist ko palToge to yaad aauuNgaa isii andaaz main hote the muKhaatib mujh se Khat kisii aur ko likhoge to yaad aauuNgaa sard raaton ke mahakate hue sannaaTon main jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aauuNgaa ab tere ashk main honThon se churaa letaa huuN haath se Khud inhen ponchhoge to yaad aauuNgaa shaal pahanaayegaa ab kaun disambar main tumhen baarishon main kabhii bhiigoge to yaad aauuNgaa aaj tum mahafil-e-yaaraaN pe ho maGaruur bahut jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aauuNgaa haadase aayenge jiivan main to tum hoke niDhaal kisii diivaar ko thaamoge to yaad aauuNgaa is main shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aauuNgaa 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

mujh main jo kuchh achchhaa

hai sab us kaa hai meraa jitanaa charchaa hai sab uskaa hai us kaa meraa rishtaa baraa puraanaa hai main ne jo kuchh sochaa hai sab us kaa hai merii aaNkhen us kii nuur se roshan hain main ne jo kuchh dekhaa hai sab us kaa hai main ne jo kuchh khoyaa thaa sab us kaa thaa main ne jo kuchh paayaa hai sab uskaa hai jitanii baar main TuuTaa huuN vo TuuTaa thaa idhar udhar jo bikharaa hai sab us kaa hai 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Bichar bhi to ham bas

kal parson Jioon ga main kaise, is haal mein barson Maut na aayi teri yaad kyon aayi Hay lambi judai Chaar dinon ka pyaar ho rabba Badi lambi judai, lambi judai Honthon pe aaye meri jaan duhai Hay lambi judai Chaar dinon ka pyaar ho rabba Badi lambi judai, lambi judai Ek to sajan mere paas nahin re Duje milan di koi aas nahin re -2 Uspe yeh sawan aaya -2 Aag lagaayi, hay lambi judai Chaar dinon ka pyaar ho rabba Badi lambi judai, lambi judai Toote zamaane tere haath nigode, haath nigode Dil se dilon ke tune sheeshe tode, sheeshe tode Hijr ki oonchi, hijr ki oonchi deevaar banaayi Hay lambi judai Chaar dinon ka pyaar ho rabba Badi lambi judai, lambi judai Baag ujad gaye, baag ujad gaye khilne se pehle Panchhi bichhad gaye milne se pehle -2 Koyal ki kook, koyal ki kook ne hook uthaayi Hay lambi judai Chaar dinon ka pyaar ho rabba Badi lambi judai, lambi judai Honthon pe aaye meri jaan, duhai Hay lambi judai Chaar dinon ka pyaar ho rabba Badi lambi judai, lambi judai ..0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Jaane Woh Kaise Log The

Jinke Pyar Ko Pyar Mila Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaaton Ka Haar Mila Bichhad Gayaa Har Saathi Dekar Pal Do Pal Ka Saath Kisko fursat Hai Jo Thamey Deewane Ka Haath Humko Apna Saaya Tak Aqsar Bezaar Mila Isko Hi Jeena Kehte Hain To Yunhi Ji Lenge Uf Na Karenge Lab See Lenge Aansoo Pee Lenge Gham Se Ab Ghabraana Kaisa Gham Sau Baar Mila ...............0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588