Page 198

Yun na Mujh ko dekh

Tera Dil pighal na jaye Mere Aansuo se Tera Daman jal na jaye Wo Mujh se phir mila hai Aaj Khawabon mai Ae Khudaya kahin Meri Neend khul na jaye Pucha na ker sab ke Samne Meri Kahani Kabhi Tera Maam Hoton se nikal na jaye Ji-Bhar ke dekh lo Hum ko Tum Sanam Kya pata phir Zindagi ki Shaam dhal na jaaye

D il Sooch Ka Pinjra

Hai... Ek Baar He Khulta Hai... Dil Piyar Ka Soda Hai... Ek Baar He Hota Hai... Dil Yaad Ka Badal Hai... Bay annt Barasta Hai... Dil Piyar Ka Bhooka Hai... Apno Ko Tarasta Hai... Dil Piyar Ka Darya Hai... Seenay Mein Machlta Hai... Dil Barf Ka Toda Hai... Jamta Na Pighalta Hai... Dil Shaam Ka Tara Hai... Ankhon Mein Chamkta Hai... Dil Hijr Ka Pathar Hai... Nazron Mein Khatkta Hai... Dil Piyas Ka Sehra Hai... Barish Ko Tarsta Hai... Dil Dard Ka Tukra Hai... Seenay mein Dharkta Hai... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

tumhay sab kuch bata duu

gaa mujay itna bata do k...... kabhi sagir kanaray per kisi machli ko dakha hay?? k jis ko lahrain pani ki kinaray tak to lati hain magar phir chor jati hay meray halat asay han meray din raat asay hain..... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

tumhara khat mila jana wo jis

tumhara khat mila jana wo jis ma tumne pucha haik ab halat kasay hain meray din raat kasay hain? maharbani tumhari hay! k tum nay iss terha muj se meray halat puchay hain meray dinn raat puchay hain

Mat karo ab duaa ki

zaroorat nahin!! Mat karo ab duaa ki zaroorat nahin bhujhi shamma ko hawaa ki zaroorat nahin kehte ho chorr doon main unko..!! kya laila ko majnu ki zaroorat nahin..? tasveer-e-yaar bas gayi hai dil mein ba-khuda ab khuda ki zaroorat nahin meri zindagi khud aik badduaa hai mujhe kisi ki badduaa ki zaroorat nahin jeetee hoon main bewafaaon ke sadke mujhe kisi dilbar ki zaroorat nahin jaan dene ka hai mujhko ikhtiyaar mujhe maut ki razaa ki zaroorat nahin rehne lagi hai khushbu-e-yaar naak mein ab mehki-mehki sabaa ki zaroorat nahin khud zakham ban gayee hai logo rehne do ab dawaa ka zaroorat nahin 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

yaa to miT jaa_iye yaa

miTaa diijiye kiijiye jab bhii saudaa kharaa kiijiye ab jafaa kiijiye yaa wafaa kiijiye aaKharii vaqt hai bas duaa kiijiye apane chehare se zulfe.n haTaa diijiye aur phir chaa.Nd kaa saamanaa kiijiye har taraf phuul hii phuul khil jaaye.nge aap aise hii ha.Nsate rahaa kiijiye aap kii ye ha.Nsii jaise ghungaruu baje aur qayaamat hai kyaa ye bataa diijiye 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

kabhi jo hum nahi hon

gey kaho kis ko batao gey woh apni uljhanein saari woh bechaini main doobay pal woh ankhon main chupay aansoo kisey phir tum dikhao gey...? tum ko rulaayen gey buhat chaho gey phir bhe tum... humein na dhoond pao gey kabhi jo ....HUM NAHI HON GEY...0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Ik zara si ranjish se Khawab

Ik zara si ranjish se Khawab toot jatay hain bheer mein zamanay ki haath choot jatay hain dost daar lehjay mein silwatein si parti hain ik zara si ranjish se shak ki zard tehni per phool badgumani k is tarha se khiltay hain zindagi se pyaray bhi ajnabi se lagtay hain ghair ban k miltay hain umer bhar ki chahat ko, aasra nahi milta khaamoshi k waqfon mein, baat toot jati hai aur sira nahi milta maazrat k lafzon ko, roshni nahi milti lazzat e pazeerai bhi, phir kabhi nahi milti phool rang waadon k, khawab toot jatay hain manzilein sukarti hain, raah murnay lagti hai be rukhi k gaaray se, be dili ki mitti se faaslon ki eenton se, eent jurnay lagti hai khaak urnay lagti hai khawab toot jatay hain, waahmon k saaey se umer bhar ki mehnat ko, pal mein loot jatay hain ik zara si ranjish se saath toot jatay hain..!! 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

yEh dIL uskI m0haBBaT sE juDa

yEh dIL uskI m0haBBaT sE juDa h0 kEr dHaDaKna sEEkh jaYe t0u NajAAne kiTne jUgno0 mUthiy0un meIn jaGmaGa uTHeIn AnDHeRe duuR h0 jaYeIn tUmHaRi rAAh se bHatkEin t0u maNZiL k0 p0haunCh jaYeIn .....0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Ek shararat kertay hain Aao mohabbat

Ek shararat kertay hain Aao mohabbat kertay hain Hansti aankhoun se keh do Dareya hijrat kertay hain Kuch dil aisay hain jin per Hum b hakumat kertay hain Koi baat to hai mujh main Dushman b izzat kertay hain Zinda rehna hai dushwaar Acha.. to himmat kertay hain Waisay hotay nahee hain log Jaisi chahat kertay hain Aksar apnay aap se hum Teri shikayat kertay hain...0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

teri talaash main ham jab

kabhi nikalte hain ik ajnabii ki tarah raaste badalte hain daraaz ho Gham-e-hijraan ki haasil-e-hijraan vo hausale hain jo aagosh-e-Gham main palte hain ravaa nahin hai Gham-e-ishq is qadar bhi garuur tere bagair bhi duniyaa ke kaam chalte hain kabhi jo had se badhii un ki yaad to samjhe ki un ke dil main bhi kuchh val-vale machalte hain shab-e-firaaq kuchh aisii bhi tiiragii to nahin kabhii kabhii sar-e-mizgaa'n charaag jalate hain ab un ke Gham se bhi mehruum ho na jaayen kabhi vo jaanate hain ki is Gham se dil behelte hain...!!! 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Un ki muhabbat ka abhi

nishaam baaki hai, Naam lab per hai jaan baaki hai, Kya hua agar dekh kar mujh per letay hain, Tasalli hai k abhi shakal ki pehchaan baaki hai. 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Phool khiltay rahay zindagi ki

raah main Roshni cahamakti rahay aap ki nigah main Kadam kadam per milay khushi ki bahar aap ko Dil deta yehi dua baar baar ap ko.0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Wohi hisab'e tamanna hey ab

bhi aa jao Wohi hey sar, wohi souda hey, ab bhi aa jao Jisey gaye hoye khud se ab ek zamana hoa Woh ab bhi tum mein bhatakta hey,ab bhi aa jao Woh dil se haar gaya hey parapni danish mein Woh shakhs ab bhi yagana hey,ab bhi aa jao Mein khud nahi hon koi aur hey mere ander Jo tumko ab bhi tarasta hey,ab bhi aa jao Wohi kusha kashey ehsaas hey ba har lamha Wohi hey dil, wohi dunya hey, ab bhi aa jao Tumhen tha naaz bohat jiski naam dari par Woh sarey shehr mein ruswa hey, ab bhi aa jao Yahan se sath hi khwabon k shehr jayen ge.. Wohi junoon,wohi sehra hey,ab bhi aa jao Kisi se koi bhi shikwa nahi magar tumse Abhi talak mujhey shikwa hey,ab bhi aa jao Woh dil ke ab hey lahoo thookna hunar jiska Woh kam se kam abhi zinda hey,ab bhi aa jao! hey mere dil ki guzarish k mujhko mat choro Yeh meri jaan ka taqaza hey,ab bhi aa jao Kabhi jo humne barey maan se basaya tha Woh ghar ujarney hi wala hey,ab bhi aa jao 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Mere dil k jada khush

khabar k sathi ! Tum hee batao phir k yeu karobar-e-hayyat kis k hisab may!!! Meri zindagi may bus ik kitab ha, chiragh hai Aik khuwab hai aur tum ho!! 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Ye kitab-O-khuwab k darmiyan jo

manzilein hain,may chahti thi Tumhare sath basar hon Yehi kull asasa zindagi hai, isi ko zadd-i-safr karoun Kisi aur simat naza karoun to meri dua may asar nah on Mere dil k jadaa khush khabr p bajuz tumhare khabi Kisi ka guzar na ho Magar is tarah k tumhe bhi iski khabr na ho Isi ehtiyat may sari omer guzar gye Wo jo arzoo thi'kitab-o-khuwab k sath Tum bhi shareek ho'wohi marr gye Isi kashmakash ney kai sawal utthai hain Wo sawal jinka jawab meri kitab may hai Na khuwab may

Meri zindagi may bus ik

kitab hai, ik chiragh ha Ik khuwab hai aur tum ho

har ek ghum ka chehera

ghulab jaisa hay magr yeh jagta manzir bhi khwab jaisa hay yeh talkh talkh sa lahja yeh taiz taiz see baat mizajay yaar alam sharab jaisa hay mera sukhan bhi chaman dar chaman shafaq ki phoo-ar tera badan bhi mehkatay ghulab jaisa hay bara taveel nihayat haseen buhat mub-hum mera sawal tumharay jawab jaisa hay tu zindagi k haqaiq ki taa mein yoon na utar k iss nadi ka bahaoo chanab jaisa hay tari nazar hi nahi harfay aashana warna har ek chehera yahan kitab jaisa hay chamak utahy tu samandar bhujay tu rait ki lahar meray khyal ka darya sarab jaisa hay teray qareeb bhi rah kar na paa saqoon tuj ko teray khayal ka jalwa habab jaisa hay 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Wo to ambar hai, Isay apnay

Wo to ambar hai, Isay apnay anchal pay Chand sajany ka haq hai, Me tu fakat khushbo ho, Khushbo ka mokadar tu' azal se bikhar jana he likha hai.

Kisi ka ho jo mera

ho.Mughy acha nai lagta.Muhabat main sharakat ho.Mughy acha nai lagta.Tw akrar kar ya ankar kar.Koi fesala tu kar.Kataron main khara hona.Mughy acha nai lagta. "~' DON '~" "~' 0321-4288314'~"

Humari Shhuraton Ki Maut Be

Naam O Nishan Ho GI Na Koi Tazkara Hoga Na Koi Dastan Hogi Agar Main Lautna Chahon Tu Kia Laut Sakta Hoon Woh Duniya Jo Sath Mere Chali Thi Ab Kahan Hogi Kar Lo Khoob Maze Abhi Is Duniya Main Jawani Char Din Ki Chandini Hai Phir Kahan Hogi 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Yun teri tammana mere dil

ko dukhaati rahi... Jab bhi muskuraana chahaa aankh bhar aati rahi, Umeedon ne banaa-banaa ke tode mere khuwaab... Baharon mein dil ki kali khil khil ke murjhaati rahi, Thar-rati rahi ye sard palken garm ashqon se... Aag paani se mil ke dhuven khoob udaati rahi, Na milaa koi saharaa hi na thaama kisi ne haath... Zindagi kadam-kadam pe thokaren khaati rahi, Ab kuch nahin hai baaki unki chaahat ke sivaa... Aise gaye hain woh ke dil ki har khushi jaati rahi, Honth to dekhe mere tune muskuraate ae sanam... Zara dekh leta aankh bhi jo ashq bahaati rahi, Wo khaa kar gaya tha kasmein ise bhuul jaane ki.n ~SHAFAQ~ ko phir bhi uski yaad kyon aati rahi? 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Tumhay jaana ijazat hay koi bhi

Tumhay jaana ijazat hay koi bhi fesla kerlo hamarey muntazir tehro ya humko alwida kehdo hamarey naam se mansoob kerlo naam ko apnay ya apna naam dey k tum kissi k meet ban jao tumhay janaa ijazat hay koi bhi fesla kerlo hamarey paaon may tu waqt ki zanjeer lipti hai buhat nidhaal hain hum tu dukhon ki aazmayesh may buhat mumkin hai thak jao hamarey saath chal ker tum muhabbat ki thakawat tumko humse badgumaan kerdey tu is se qabal k her ek wapsi ki rah kho jaay jo socha bhi nahi humne kabhi wo kal ko hojay tumhay janaa ijazat hay koi bhi fesla kerlo hamara tumse wada hai, tumhari yaad ko hum tu sadda dil k darechay may yonhi aabad rakhay gain k dil tuta rahy her pal labbon ko shaad rakhain gain tumhay janaa ijazat hai koi bhi fesla kerlo tum apnay hosloon may jab thakawat c kabhi paao ulajh jao masa'yil may, wafa ko na nibha paao kissi pyarey se mukhray ki haseen aankhon may kho jao ijazat hay tumhay janaa ager is pal jo tum chahoo koi bhi fesla kerlo hamarey muntazir tehro ya humko alwida kehdoo!!!! 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya

Nahi Karte Mere Dost! Yun Kisi Ko Satya Nahi Karte Ek Baar Yun Kisi Ko Keh Ker Apna Daman Phir Us Se Churaya Nahi Karte Us ke Intezaar Se Bhala Kya Ho Ga Haasil Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aya Nahi Karte Rakhte Hon Jo Dard Bhara Dil Apne Seene main Dosron Ka Dil Phir Woh Dukhaya Nahi Karte Do Qadam Saath Chal Ker Jo Judda Ho Jayen Aise Logon Ko To Humsafar Banaya Nahi Karte Kis Tarhan Guzarti Ho Gi Zindagi Unnnnn ki Pehli MOHABBAT Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Kya Khabar thi k main

is darja badal jaon ga Tujhe ko kho don ga teray Gham se sambhal jaon ga Ajnabi ban k milon ga main tujhe mahfil main Tu nay cheri bhi to main baat badal jaon ga Dhond paaye na jahan yaad bhi teri mujh ko Aaisay jungle main kisi roz nikal jaon ga Zid main aaye hoye mosam say bachchay ki tarhan Khud hi kashti ko dubonay pay machal jaon ga 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

MAIN US KI ZAAT PER

AISE YAQEEN RAKHTA HON K JAISE QADMON K NEECHE ZAMEEN RAKHTA HON HAQEQATON KI TO BAD SOORTI HAI APNI JAGA MAGER MAIN KHAWAB BOHT DIL NASHEEN RAKHTA HON YE DIL TO MER CHUKA LEKIN WO KHAWAB ZINDA HAI MAKAN TO NAHI RAKHTA,MAKEEN RAKHTA HON ZAMEER MERA MUJE ROSHNI DIKHATA HAI SADAQATON MAIN GUNDA IK AMEEN RAKHTA HON YE NAZ HAI KOI NADAN MERA DOST NAHI YE FAKHER HAI K MAIN DUSHMAN ZAHEEN RAKHTA HON .............. 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

do din hi sahi vo

mera mehmaan tu rehta Phir rehta agar ghar mera veeran tu rehta khojati hawaon mein teri aakhri tehreer dil ko tere iqrar per iman to rehta... phir milne ka waada bhi badi baat hai ay dil phir kon mila lekin yeh ehsaan to rehta... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Tu kisi aur ki jageer

hai aye jan-e-ghazal log tufan utha dain gey mere sath na chal pehle haq tha teri chahat ke chaman pe mera pehle haq tha teri khushbo-e-badan pe mera ab mera piyar tere piyar ka haqdar nahi main tere gesu o rukhsar ka haqdar nahi ab kisi aur ke shano pe hai tera anchal log tufan utha dain ge mere sath na chal main tere piyar se ghar apna basaon kese main teri mang sitaron se sajon kese meri kismat me nahi piyar ki khushbo shaid mere hathon ki lakeeron me nahi tu shaid apni taqdeer bana mera muqaddar na badal log tufan utha dain ge mere sath na chal mujh se kehti hain ye khamosh nigahen teri meri parwaaz se unchi hian panahgahen teri aur gheraat e ehsaas pe shaarminda hun ab kisi aur ki bahon me hian bahain teri ab kahan mera thikana hia, kahan tera mehel log t ufaan utha dain ge mere sath na chal. 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Khushbuu hai vo to chhuu

ke badan ko guzar na jaaye jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye is Khauf se vo saath nibhaane ke haq me.n hai khokar mujhe ye la.Dakii kahii.n dukh se mar na jaaye palko.n ko us kii apane dupaTTe se po.Nch duu.N kal ke safar me.n aaj kii gard-e-safar na jaaye mai.n kis ke haath bhejuu.N use aaj kii duaa qaasid havaa sitaaraa ko_ii us ke ghar na jaaye 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

jab..... jab shab kay shikasta zeenoon

jab..... jab shab kay shikasta zeenoon say mehtab uternay lagta hay jab Gham kay sard alao main umeedain jalnay lagti hain jab dil kay shor e samander main awazain marnay lagti hain jab mosam hath nahin atay jab titli baat nahin kerti jab zinda rehna aik bemaani kaam dikhayee deta hay jab anay wala her lamha dushnam dikhaee deta hay jab yaad kay gehray sanatay main chehray gum ho jatay hain jab dard say bojhal ankhoon main gardab say pernay lagtay hain jab shamain gul ho jati hain jab khwab bikhernay lagtay hain US WAQT AGER TUM A JAOO!!!!!! 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

koi wada nahi hum main na

koi wada nahi hum main na aapas main bohat baatain na milnay main boht sho'khee na aakhir shub manajaatein mager ik ankahee se hai jo hum dono samghtay hain yeah saray dil ruba manzar tilismee chandni raatein ya halkay sukh ki bersatein sub hi ik zid main rehtay ahin mujahy peyham yeh kehtay hain mohubbat youn nahi achi mohubbat youn anhi achi 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Socha naheen accha bura...Dekha suna

kuch bhee naheen Manga khuda say hur waqt...Teray siwa..... Kuch bhee naheen! Dekha tujhey chaha tujhey...Socha tujhey pooja tujhey Meri wafa meri khata.... Teri khata kuch bhee naheen! Jis par hamari aankh nay...Moti bichayey raat bhar Bhaija wahee kaghaz usay...Ham nay likha Kuch bhee naheen Aur aik shaam kee dehleez per...Baithay rahay woh dair tak Aankhon say kee batain bohat...Munh say kaha kuch bhee naheen! Do chaar din kee baat hay...Dil khak mein mil jaeyey ga Aag per jab kaghaz rakha...Baqee bacha ..... Kuch bhee naheen ..... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Mera lafz lafz Duaa Duaa Mere

Mera lafz lafz Duaa Duaa Mere Aanso'on se dhula hua Tujhey Zindagi ki wo Seher miley Tujey Aaino ka Safar miley Tujhey Gird-e-Ghum kabi chhoo na sake Mere Dil mai hi tuu chupi rahey Mere Aashna mere Hum-Nasheen Yeh Duaa hai koyee Gila nahi Tujhey Zindagi mai wo sukoon miley Jo mujhe kabi mila nahi 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

aa bhii jaao kii zindagii

kam hai tum nahii.n ho to har Khushii kam hai vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n shahar me.n aaj raushanii kam hai jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa aaj kal un kii dostii kam hai tere dam se hii mai.n mukammal huu.N bin tere terii 'Zindagii' kam hai 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

MEIN KIS HAWA MEIN UROON

KIS FIZA MEIN LEHRAON, MUJHEY YE KON SEY RASTEY LAGA GAYA IK SHAKS. TAMAM RANG MEREY AUR SAREY KHUWAB MEREY, FASANA THEY K FASANA BANA GAYA IK SHAKS. 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Jaanay khun loog pyar KARTAY

HAIN Saach poocho tu waqt barbaad KARTAY HAIN Kia rakha hai aisey fuzool kamoon main Ratoon ki neend apni haraam KARTAY HAIN Kuch nahi milta dil laganay main Jeena aur bhi apna dushwaar KARTAY HAIN Jhoot hain sab ishq-o-pyar ki baateein Yeh lafzz kitaboon hi main sajaa KARTAY HAIN.. 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Lafzo main fasaney dhoondte hain,Lamho

main zamanedhoondte hainTum zeher bhi do Magar Pyar se dostHum to marney k bahaney dhoondte hain... "~' DON '~" "~' 0321-4288314'~"

ROSHNI" kab kam hui pata

na chala. "KHUSHI"kab gum hui pata na chala. Tumhari "YAAD" me khoye kuch is tarah. "AANKH" kab nam hui pata na chala... "~' DON '~" "~' 0321-4288314'~"

Kabhi yaad aao to iss

terha ke laho ki saari tamazatein tumhein dhoop dhoop samait lein tumhein rung rung nikhaar dein tumhein harf harf mein soch lein ke deyaar-e hijer ki teergi ko palak ki nok se noch lein kabhi yaad aao to iss terha ke dil-o nazar mein sama sako kabhi had se jub yeh junoo berhay to hawas bun ke bikher sako kabhi khul sako shab-e visel mein kabhi khoon-e dil mein sanwar sako sir-e rahguzar jo milo kabhi na theher sako na guzar sako mera dard phir se ghazal banay kabhi gungunao to iss terha mere zakhm phir se gulaab hon kabhi muskuraao to iss terha meri dharkanein bhi laraz uthein kabhi chot khaao to iss terha jo nahin to phir baray shoq se sabhi rabtay , sabhi zabtay kabhi dhoop chaaon mein tor do na shikast-e dil ka sitam kaho na suno kisi ka azab-e jaan na kisi se dil ki qalish kaho yuun hi khush raho yuun hi kush phiro na ujer sakein na sanwar sakein kabhi dil dukhaao to iss terha na simat sakein na bikher sakein kabhi bhool jaao to iss terha KISI TAUR JAAN SE GUZAR SAKEIN KABHI YAAD AAO TO ISS TERHA!! 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

DEKHO JAISY MERE ANKHEN" Yeh omer

DEKHO JAISY MERE ANKHEN" Yeh omer tumhare aise hai Jub asman sy tary toor k ly ana bhi Such much mumkin lagta hai! Sher ka har abad ilaka Apna angan lagta hai Youn lagta hai jaisy har din Har ik manzer Tum sy ijazat ly kar apni shakal mouen karta hai! Jo chaho woh ho jata ahi, jo soco, woh ho sakta hai! Lakin ay is kache umer ki barish ma mastana firte, chanchal larki! Yeh badil jo aj tumhare chat per rok kar tum y baten karta hai Ik saya hai, Tum sy pehly or tumhary bad k har ik moosam ma yeh Har ik chat per aisy hi or isi tarha sy Dhoky bant'ta firta hai Subh-e-azal sy sham-e-abad tak!! aik hi khel or aik hi manzer Dekhny wale ankhon ko har bar dikhaya jata hai Ay sapnon ki sejh py sony jagny walee piyare larki! Tery khawab jabeen, Lakin itna dhyan ma rakhna jeevan ki is khawab sra k sary manzer Waqt k qede hoty hain jo, apni roo ma In ko sath liye jata hai or mehmeez kiye jata hai dekhny wale ankhen peechy reh jate hain Dekho --- Jaisy --- Mery Ankhen 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Barsat m hum pani ban

kr baras jay gayPatjhar m hum phol bun k jhar jay gayKya howa jo aj apko tang karte h Ek din apko bin btaye hi guzar jay gay . "~' DON '~" "~' 0321-4288314'~"

Wo kuch sunta tu mai

kahta,mujha kuch or kahna tha..wo pal bhar ko jo ruk jata,mujha kuch or kahna tha..galat fahmi na baton ko barha dala unhe warna,kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujha kuch or kahna tha.! "~' DON '~" "~' 0321-4288314'~"

TU NE KAHA ISHQ DHONG

HATujhay ishq ho khuda karay , koi tujh ko us se juda karay, terey hont hansna bhul jain teri ankh purnam raha karay, usay dekh kar tu ruk paray, wo nazar jhuka kar chala karay, terey khuwab bhikrain tut kar, tu kirchi kirchi chuna karay, tu gali gali phira karay, tu nagar nagar sada karay, tujhay ishq ho phr yakeen ho usay tasbiyön mein parha karay , mein kahun k k ishq dhong ha, tu nahin nahin kia karay . "~' DON '~" "~' 0321-4288314'~"

Tujhe pyar mera satai ga,yadon

k tufan uthai ga,mera nam likh kr kitabo mai,tu logo k dar se mitai ga,zikar mera aksar krne se phele,tu kuch soch kr muskurai ga,batain meri yad ayen gi,jitna tu unhe bhulai ga,tera dil muje jo dekhna b chahe,tu nazro ko phr b jhukai ga,jisne muje itna sataya hy,uska chain b koi churai ga... "~' DON '~" "~' 0321-4288314'~"

Mohabat jeet hoti hai magar

yeh har jati. kabi dil sooz lamhoo say kabi bekar rasmo say kabi taqdeer waloo say kabi majboor kasmoon say magar yeh har jati hai kabi yeh phool jaisy hai kabi yeh dhool jaisy hai kabi yeh chand jaisy hai kabi yeh doop jaisy hai kabi masroor karti hai kabi yah roog daiti hai kisi ka chain banti hai kisi koo rool daiti hai kabi lay paar jati hai kabi yeh mar jati hai mohabat jeet hoti hai magar yeh haar jati hai S.M.Khan 03216642988.

ye jo zeest ka safer

hai, yeh jo rasta hai mera. Tum agar na saath doon ge, To ye kistarha katay ga? Meri soch ki hado tak, yeh guman bhi kaisey aey? Koi pal Bina tumharay........ Bhala kaisey beet jaey? Mere paas Tum nahi ho? Mere paas kab nahi ho? meri yaad k nagar main meray khwaab k safar main meri soch ki tahon tk meri aankh k bhanwar main meray dil main jaan main tun main meri hasraton k bun main meray din ki tairgi main meri shab ki roshni main HAAN TUM HE HO! HAAN!TUM HE HO meray pass tm nahi ho?? meray pass kab nahi ho? meri her dua ka mehwar bas ik aarzoo tmhari isee aarzoo se aagey koi raasta nahi hai TUMHEY KIS QADAR HAI CHAHA YEH TUMHEY PATA NAHI HAI....0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Raaat dhalne ko ha saans rukney

Raaat dhalne ko ha saans rukney ko ha sath tera chahyea yehi umeed to ha tu agar sath chale khushian chura loon sari daman may bhar kar teri apna jeevan udas kar loon .. or kia chaht ha or kia tamana ha kis tarh khuwisho ko apni teri godd may rakh doon, bus ik pyar ki nazar ki chha phir dekh may kis tarah ye dono jahan paar kar loon !!!

badan me.n aag sii cheharaa

gulaab jaisaaa hai ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai kahaa.N vo qurb ke ab to ye haal hai jaise tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai magar kabhii ko_ii dekhe ko_ii pa.Dhe to sahii dil aa_iinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai vo saamane hai magar tishnagii nahii.n jaatii ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai 'SaaMer' sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahii hame.n aziiz hai Khaanaa_Kharaab jaisaa hai 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Tumharay baghair tumharay sang rehnay

laga hoon khud ko kuch is terhaa say saza dainay laga hoon Pathar ke terhaa say hoon kabhi ye gumaan bhi tha zard pattoo ke terhaa say roz bekharnay laga hoon Kaash mujhey bhi maray hissay ka piyar mil jaye Issi aas per ab main yaha jeenay laga hoon Koi nahi marta kissi kay baghair kabhi ye kaha tha Din raat yehe souch ker ab marnay laga hoon Tum nay kaha tha koi judda nahi kar sakta humay Ab yehe duaa main bhi karnay laga hoon 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Tumhare faisalon main kitni sachaii

hai Suna hai duniya kahin aur ab basai hai Sitam jis lamhe socha ke tumhe bhol gaii Unhi lamhon tumhari yaad buhat ayi hai Kaha nahi tha ke tum chor chale jao ge Meri halaat say bari gehri shanasai hai Lutf to ye ke akeeli bhi nahi hon mai ab Ke tum se ziyada bawafaa meri tanhai hai Khud charag sare bujha diye hain ham ne Kuch hawaon main bhi sarkashi dar Aaii hai Mere ird gird aur logh bhi baste hain bohat Tum se bichre hain to ye baat samjh Aaii hai 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588