Page 201

Tum door ho to kia

hay. Teri khushbo meray sath hay, Tera lehja meray sath hay, Teri Batain meri hamsafar, Teri Yadain meri rahguzar. Tum Door ho to kia hay. Har Lamha meray pas ho, Meray jenay ki tum aas ho, Meri zindagi meri justaju, meri dharkan meri arzoo. Tum door ho to kia hay. Sath tera saya hay, Dil ko ye samjhaya hay, Jo apny hain wo bhola nahi kartay, Bhed dil k kbhi khola nai karty. Tum Door ho to kia hay.......0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

sakoon bhi khawab howa neend

bhi hai kam kam phir... qareeb aanay laga doriyoon ka mousam phir... bana rahi hai teri yaad mujko silk_e_gohar paro gae meri palkoon main aaj shabnam phir... who narm lehjay main kuch keh raha hai phir mujsay chira hai payar kay komal suroon main madham phir... tujay manaoon kay apni ana ki baat sunoon ulaj raha hai miaray faisloon ka raisham phir... na uski baat main samjoon na who meri nazrain muaamlat_e_zuban ho chalay hain mabham phir... who aik lamha kay jab saray rang aik howay kisi bahanay daikha na aisa sangam phir... bohot azeez hain aankhain meri usay,laikin who jatay jatay inhain kar gaya hai purnam phir.. 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

MENE USKO TOOT K CHAAHA

DIL KA SHEESHA TOOT GAYA AANKH ABHE LAGNAY NA PAAI THI SAPNA MERA TOOT GAYA PEHLAY PEHAL TO DIL KO USKI YAADON NAY BEHLAYEY RAKHA OR PHIR DHEERAY DHEERAY YE YAADON KA SILSILA BHE TOOT GAYA PEHLAY DIL PHIR USKI DOORI OR PHIR SAANSAIN TOOT GAIEN IK NAATA KIYA TORA TU NAY, JANAY KIYA KIYA TOOT GAYA ..........0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

In guzarti shamon mein kesi beqarari

In guzarti shamon mein kesi beqarari hai, In guzarti shamoon mein aik aik pal bhari hai, Dil ub k lagta hai hum sey rooth jaye ga, Tum sey jo aik ta'aluq hai woh bhi toot jaye ga, hum udas kitne hain........... Yun to aik arsay sey tum sey door rehtey hain, yun to aik arsay sey yeh azab sehtey hain, lakin ub judai ki talkhiyan naye se hain, teh-dar-teh,rooh main khamoshiyan, naye se hain hum udas kitne hain........... tum talak pohanchne ka na tha ikhtiyar pehle bhi, is qadar hi mushkil tha intezar pehle bhi....... bin merey ghar sara pur-malal rehta hai, kuch to tum bhi likh bhejo, kesa haal rehta hai, tum to jante ho gay hum udas kitne hain........ 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

roz sochta houn k kia

karoun roz wo hi baat bhool jata houn tumhe bhoolnay ki kasak karta houn To apna hi wajood bhool jata houn Us sheher say na janay ab dil ghabrata hai mera Jahan say meri galio ka rasta teri ower jata hai Ajnabi sheher hai basera mera kuch din k lye Tanha houn mai yahan kuch din kay lye Apnai sheher ki yaadain hain abhi taza Phir bhi lot janay ko dil nahi chahata Jahan say guzer hay tera wahan ab basnay ko dil nahii chahata 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

log har morh pe ruk

ruk ke sambhalate kyuuN hain itanaa Darate hain to phir ghar se nikalate kyuuN hain mai.n na juganuu huuN diyaa huuN na ko_ii taaraa huuN raushanii vaale mere naam se jalate kyuuN hain niind se meraa ta'alluq hii nahiin barason se Khvaab aa aa ke merii chhat pe Tahalate kyuuN hain mo.D hotaa hai javaanii kaa sambhalane ke liye aur sab log yahiin aake phisalate kyuu hain 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

lab pe tere iqraar-e-mohabbat sher

Gazal kaa lagataa hai sharm se cheharaa laal gulaabii phuul kamal kaa lagataa hai dil ko najar se Takaraaye bhii ek zamaanaa biit gayaa choT magar hai itanii taazaa haadasaa kal kaa lagataa hai beKhud ho kar mast havaaye.n aise kab laharaatii thii.n ye jaaduu to halkaa halkaa us aa.Nchal kaa lagataa hai ham samajhe the bhuul gaye hai.n vo chaahat kaa afasaanaa aaj magar phir dard saa dil me.n halkaa halkaa lagataa hai...........0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Humein bhi shaam hi sy

ghair leti hay pareshaani Parindon ki tarha hum bhi gharo ko lot aaty hein Tawaqqa thi kay koi lott kar aay gaa jeety jee Magar ye lotna orr mott aa jaana achaanak hay Smander sy kabhi poocho tumhein ro kr bataay ga Koii esa nahin thaa jo talaatum ko samajh paata Tumhein apnay kisi sukh ka nasha hoga magar yaro Humein bhi naaz hay apny dukhon ki dilrubaai kaa Meri deewangi wo dekhh aai hay kay Farhat jee Tamanna ki musaafat ab musaafat hi nahin lagti 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

ham unheN vo hameN bhulaa

baiThe do guneh-gaar zahar khaa baiThe haal-e-Gham kah ke Gham baRhaa baiThe teer maare the teer khaa baiThe aandhioN jaao ab karo aaraam ham Khud apnaa diyaa bujhaa baiThe jee to halkaa hu’aa magar yaaroN ro ke lutf-e-Gham gaNvaa baiThe be-sahaaroN kaa hauslaa hii kyaa ghar meN ghabraaye, dar pe aa baiThe uTh ke ek be-vafaa ne de dii jaan rah gaye saare baa-vafaa baiThe jab se bicchRe vo, muskuraaye na ham sabne chheRaa to lab hilaa baiThe hashr kaa din abhii hai duur “Khumar” aap kyuN zahidoN meN jaa baiThe 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Tum takaluf ko b ahkhlas

samajtay ho Fraz, Dost hota nahe her haat milanay wala.

Her kisi ko chahna mayri

fitrat main nahe, Ik tum say muhabbat mujay virsa main milli ha.

kal bhicharna hai to ahd_e_wafa

soch ke bandh, abhi aaghaz_e_muhabbat se gaya kuch bhi nahin, men to is waste chup hoon ke tamasha na bane, too samjhta hai mujhe tujh se gila kuch bhi nahin

Chaand to nikla hai magar

yeh raat na hai pehli si, Yeh mulaaqaat, mulaaqaat na hai pehli si, Ranjh kuchh kum to hua aaj teray milne se, Yeh alag baat ke yeh baat na hai pehli si.

Jis ki ankhain muj ko

andar say b parh sakti hoin, Koi chayhra to mayray shahar main asa la dy.

kya khoob shairee hai khiltee es

kya khoob shairee hai khiltee es se zindagee hai sms jo aap ne hai baija hai ye phoolon kee kali hai (( fazal elahi khan ,, 03028308713 ))

jo bhii ghar se jaataa

hai ye kah kar hii jaataa hai “dekho, mujh ko bhuul na jaanaa maiN phir lauT ke aauuNgaa dil ko acche lagne vaale laakhoN tuhfe laauuNgaa naye naye logN kii baateN aa kar tumheN sunaauuNgaa” lekin aaNkheN thak jaatii haiN vo vaapis nahiiN aataa hai log bahut haiN aur vo akelaa un meN gum ho jaataa hai 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

udaasii ke chehre paRhaa mat

karo Ghazal aaNsuuoN se likhaa mat karo bahar-haal ye aag hii aag haiN chiraaGoN ko aise chhuaa mat karo du’aa aaNsuuoN meN khilaa phuul hai kisii ke liye bad-du’aa mat karo tumheN log kehne lageN be-vafaa zamaane se itnii vafaa mat karo agar vaaqaii tum pariishaaN ho kisii aur se tazkiraa mat karo Khuda ke liye chaaNdni raat meN akele akele phiraa mat karo 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

din ek sitam, ek sitam

raat karo ho wo doast ho dushman ko bhi tum maat karo ho ham khaaq-nashiiN, tum suKhan-aaraa-e-sar-e-baam paas aa ke milo, duur se kyaa baat karo ho hamko jo milaa hai, wo tumhiiN se tau milaa hai ham aur bhulaa deiN tumheiN, kyaa baat karo ho ! daaman pe ko’ii chhiiNt, na Khanjar pe ko’ii daag tum qatl karo ho ke karamaat karo ho bakne bhi do Ajiz ko, jo bole hai so bake hai deewaana hai, deewaane se kyaa baat karo ho 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

farz karo ham ahl-e-wafaa hoN,

farz karo diivaane hoN farz karo ye donoN baateN jhuuTii hoN afsaane hoN farz karo ye jii kii biptaa jii se joR (?) sunaayii ho farz karo abhii aur ho itnii aadhi ham ne chhupaayii ho farz karo tumheN Khush karne ke dhuuNde ham ne bahaane hoN farz karo ye nain tumhaare sach-much ke maiKhaane hoN farz karo ye rog ho jhuuTaa jhuuTii peet hamaarii ho farz karo is peet ke rog meN saaNs bhii ham pe bhaarii ho farz karo ye jog-bijog kaa hamne Dhong rachaayaa ho farz karo bas yahii haqiiqat baaqii sab kuch maayaa ho 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

vo niiNd kii tarah narm

sabzaa KhvaaboN kii tarah ramiidaa shabnam phuuloN kii tarah shaGhuftaa chehre Khushbuu kii tarah latiif baateN kirnoN kii tarah javaaN tabassum shoale kii tarah dahaktii Khvaahish taaroN kii tarah chamaktii aaGhosh saaGhar kii tarah chalakte siine sab qaafilaa-e-’adam ke raahii vaadii-e-’adam meN chal rahe haiN taariikiyoN ke khile haiN parcham lamhoN ke chiraaGh jal rahe haiN har laamhaa hasiin aur javaaN hai har lamhaa faroGh-e-jism-o-jaaN hai har lamhaa aziim-o-jaavidaaN hai 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

jism-o-jaaN par guzar gayiiN

sadiyaaN mujh ko paamaal kar gayiiN sadiyaaN vaqt kii tez aaNdhiyoN meN kahiiN gard ban kar bikhar gayiiN sadiyaaN raf’atoN se giraa thaa ek lamhaa pastiyoN meN utar gayiiN sadiyaaN thii ajab inquilaab-e-vaqt kii maar ek do pal meN mar gayiiN sadiyaaN ham khaRe dekhte rahe “Makhmoor” sa’atoN meN guzar gayii sadiyaaN 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

ishq bekaar, muhabbat barbaad shoalaa-e-dil kii

ishq bekaar, muhabbat barbaad shoalaa-e-dil kii haraarat barbaad maiN use bhuul na paayaa ab tak saal-haa saal kii mehnat barbaad ko’ii suntaa hii nahiiN qissaa-e-dard harf barbaad, hikaayat barbaad vo hai naaraaz abhii tak mujh se minnateN zaa’yaa, samaajat barbaad us pe khultaa hii nahiiN haal meraa saarii tashriih-o-vazaahat barbaad kaun barbaad karegaa mujh ko maiN huuN Khud apnii ba-daulat barbaad ab bhii haiN uskii galii ke phere baarish, sang-e-malaamat barbaad ab bhii aabaad haiN yaadeN uskii ehtimaam-e-Gham-o-furqat barbaad be-talab us ne talab kii puurii ho gayii saarii ibaadat barbaad maut ko bhii tuu parakh kar dekh ziist barbaad, nihaayat barbaad haasil-e-jazb-e-vafaadaarii “SaaMer” zaa’yaa, bekaar, akaarat, barbaad 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN

naqsh-e-maazii miTe-miTe se vo aazmaaiish dil-o-nazar kii, vo qurbateN sii, vo faasile se kabhii-kabhii aarzuu ke sehraa meN aa ke rukte haiN qaafile se vo saarii baateN lagaao kii sii, vo saare unvaaN visaal ke se nigah-e-yaar ko qaraar kaisaa, nishaat-o-Gham meN kamii kahaaN kii vo jab milte haiN to unse har baar kii hai ulfat naye sire se bahut giraaN hai ye aish-e-tanhaa, kahiiN sabuktar, kahiiN gavaaraa vo dard-e-pinhaaN ke saarii duniyaa rafiiq thii jiske vaaste se tumhiiN kaho rind-e-mustahib meN ho aaj shab kaun farq aisaa ye aa ke baiThe haiN mai-kade meN, vo uTh ke aaye haiN mai-qade se ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Yehi Wafaa ka silaah hai,

to koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, to koi baat nahi Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi Kise majaal kahe koi mujh ko deewana Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

muhabatoon main adawatein kaisi chahna

muhabatoon main adawatein kaisi chahna kisi ko to phir shikayetein kaisi jab tumhara uss per eitbar hay itna to zara zara si baat per wazahetein kaisi 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Ab kis se kahein aur

Kon sunay Jo HaalTtumharay baad huwa Is Dil ki Jheel si Aankhon mei Ek Khawab boht Barbaad huwa Yeh Hijr Hawa b Dushman hai Us Naam ke saaray rango ki Woh Naam jo Mere Honton per Khushboo ki tarah Aabaad huwa Is Shehr mei Kitnay Chehre they Kuch Yaad nahin Sub Bhool gaye Ek Shakhs Kitabon jesa tha Woh Shakhs Zubaani Yaad huwa Woh Apne Gaaun ki Galiyaan thi, Dil Jin mei Nachta Gaata tha Ab is se Farq nahin parhta Naashad huwa ya Shaad huwa Be-Naam Sataayish rehti thi, In Gehri Sanwali Aankhon mei Aisa to kabhi socha bhi na tha, Dil Ab jitna Be-Daad hua 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Tum kia ho Duniya ki

nazar main aik aam insan ya ziada say ziada achay ya buray per meri nazar main tum seep may moti hou tum lehro ki shararat ho tum thandi dhoup ki hararat hou tum barisho ki sada hou tum ghamo main khushiyo ka ahsas hou tum dharkano ki awaz hou tum sada ho mairay piyar ki tum hi humsafer tum hi manzil ho zindaygi ki tum khud ko kabhi mat daikhna duniya ki nazar say kiun kay tum khas ho sansou ki saaz hou... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Ab kiya likhein hum kagaz

per Ab likhne ko kiya baki hai Ik dil tha su wo tuth giya Ab lutne ko kiya baki hai Ik shaks ko hum ne caha tha Ik reet pe naqsh banaya tha In reet ke zarun ko hum ne Phir apne dil main sajaya tha Wo reet tu kab ki bikhar gay Wo naqsh kahan ab baki hai Ab kiya likhein hum kagaz per Ab likne ko kiya baki hai Hum jin ko apni nazmoon ka Unwan banaya karte the Lafzun ka bana kar taj mehal Kagaz par sajaya karte the Wo hum ko akela choor gay Sab rishtoon se mun murr gay Ab rishte sare sune hain Wo piyar kahan ab baki hai Ab kiya likhein hum kagaz per Ab likne ko kiya baki hai ,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,., 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Ker lea hai faisla kehna

ossay abb na hoga rabta kehna ossay jis pe hum chalte rahen hain SATH SATH kho gaya woh Rasta kehna ossay teri YADEEN DIL se ruksat ho gain ho chuka yeh saneha kehna ossay abb na dekhay ga tumhara rasta dil ko may samjha chuka kehna ossay cheen se sone na dega Ghum tujhi raat bher abb jagna kehna ossay aashna bun ker na milna rah may Dosti ek khuwab tha kehna ossay moer k pechay dekhtay hum bhi nahi soch ker munh phairna kehna ossay 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Aey Kaash… woh phool si muskurahat

Aey Kaash… woh phool si muskurahat merey liye hoti woh masoom shararat merey liye hoti main us zulf ki chaaon main soo jaata woh kaali raat merey liye hoti raat bhar woh ghomaati apna kangan woh bechayni woh betaabi merey liye hoti woh ek taara tha khuley aasmaan main aey kaash woh roshni merey liye hoti merey wujood main bhi zindagi ka suraagh milta jo woh munawar nazar merey liye hoti rishtaa kuch to ban jaata apna bhi mohabbat nahi na sahi,nafrat merey liye hoti 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Main bhool jaon tumhain ab

yahi munasib hai magar bhulana bhi chahoon to kis tarah bhoolon Keh , tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaab nahin yahan to dil ka ye aalam hai kya kahoon, kambhakht Bhula saka na ye, wo silsila jo tha hi nahin wo ik khyal jo awaaz tak gaya hi nahin wo aik baat jo main keh nahin saki tum se wo aik rabta jo hum main kabhi raha hi nahin mujhay hai yaad wo sab jo kabhi huwa hi nahi agar hai dil ka yeh aalam to koi samjhaye tumhain bhulana bhi chahoon to kis tarah bhoolon Ke tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaaab nahi 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Kaho ab kya kahoon tum

se Batao kya likhoon tum ko Mujhey tamheed dou koi Mujhey umeed dou koi Naya ek lafz hou koi Jahan se baat chal niklay Meri mushkil ka hal niklay Batao lehja kaisa hou Ke tum se baat karni hai Mujhey thora ujaala dou Basar ek raat karni hai Apni roshan aankhoon ko agar kholo tu main likhoon Kaho ab kya iraada hai Ke betaabi ziyaada hai Mujhey ek baat karni hai Mujhey izhaar karna hai Meri kahani mera qissa hou tum Meri sansoon ka hissa hou tum 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

GHUM KI RAFTAAR BARHA DI

TU NAY Jurm kaya tha jo saza di tu nay Aaj tanhaiyon ka saathi hoon Meri haalat kaya bana di tu nay Kitna khamosh pur sakoon sa tha Kis qadar aag laga di tu nay Ab teri simt kahan say aaon Kaisi deewar utha di tu nay Hum nay apno say chupaye thi wohi Baat dunya ko bata di tu nay…… 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Itna toota hoon ki choonay

say bikhar jaaoonga, Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga ! Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo, Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga ! Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi, Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga ! Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka, Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga ! Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar, Main to khushboo hoon fhizaon mein bikhar jaaoonga ! Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga, Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool

kar Tum, Mein aksar tumhein Yad Ata Rahonga, Kabhi Khuwab Bankar ,Kabhi Yad Bankar, Mein Nendiein Tumhari Churata Rahonga, Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum, Kabhi Jee Raha hoon , Kabhi Mar Raha hoon, Mujhe Na Pata Mein kya Kar Raha hoon, Kabhi Bhujh Raha hoon, Kabhi Jal Raha hoon, Kadam Rokte Hein Magar Chall raha hoon, Mein yoon hi chalonga milo na milo tum Mein Awaz dekar Bullata Rahonga, Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum, Sataigi Gi jab jab Tumhein Bekrari, Tumhien yad aigi Muhabat Hamari, Sunoge kahen jo Muhabat ki batien, Tumhien Yad aigien wo Din wo Ratein, Guzari jo Tum ne Banhoone mein Meri, Mein Sub Yad tum ko Dillata Rahonga Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum, Mein aksar tumhein Yad Ata rahonga, Kabhi Khuwab Bankar ,Kabhi yad Bankar, Mein Nendiein Tumhari Churata Rahonga, Bhula na Sakhoge Mujhe Bhool kar Tum, Mein aksar tumhein Yad Ata rahonga, 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

chupkay chupkay jal jatey hain loog

chupkay chupkay jal jatey hain loog mohabat karne waley ! purwa sang nikal jatey hain loog mohabat karne waley ! ankhon ankhon chal partey hain taaroon ki qandeel liye chaand k sath he dhal jatey hain loog mohabat karne waley ! dil main phool khila detey hain loog mohabat karne waley ! aag main raag jaga detey hain loog mohabat karne waley ! khowab khushi k boo jatey hain loog mohabat karne waley ! zakhm dilon k dhoo jatey hain loog mohabat karne waley ! titli titli lehratey hain pholoun ki umeed liye ik din khushbu ho jatey hain loog mohabat karne waley ! jhoonka hain bechain hawa ka loog mohabat karne waley ! 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

sab ronaqon ko bhool kar

socha main karta hon tumhain ab raat din shaam o sehar socha main karta hon tumhain mere dil sad-e-chaak main jab khowahishain dam tour dain kuch deeep rakh k baam pe socha main karta hon tumhain na doston ki yaad hai na dushmanon ka khoof kuch khud se ho k bekhabar socha main karta hon tumhain zinda rehna sikhaya hai in sochon ne k mout se bhi bekhatar socha main karta hon tumhain ...0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Apni tanhai mere naam pe

abaad karay... Kaun hoga jo mujhe is tarha yaad karay? Dil ajab sheher, keh jis per bhi khulla dar iska... Woh musaafir issay her simt se barbaad karay! Apne qatil ki zehaanat se pareshaa.N hoo.N mai Roz eik maut naye tarz ki ijaad karay! Uski Muthi mai bohat roz raha mera wujood, Mere saahir se kaho ab mujhay azaad karay! 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Ab Agar Aao To Jaane

ke Liye Mat Aana Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana .................................................... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Baat Din Ki Nahi, Ab

Raat Se Dar Lagta Hai... Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai... Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye... Zindagi Ab Teri Saugaat Se Dar Lagta Hai... Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo... Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai... Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein... Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

oos ki ankhoon mein moohabbat

ka sitara ho ga, aik din aye ga woh shakhs hamara ho ga, tum jahan merey leye sipeyan chunti ho gi, woh kissi aur he duniya ka kinara ho ga, zindagi ab k mera naam na shamil karna , gar yeh teh hai k yehe khel dobara ho ga, jes k honey sey merey sans chala kerti thi, kis tarha os k baghar apana guzara ho ga, yeh jo achanak ojala sa ho jata hai, dil ney chupkey sey tera naam pukara ho ga, ishq karna hai to din raat osey suchana hai, aur kuch zehan mein aya to kahsara ho ga, koon rota hai yahan raat k sanatoon mein, merey jeysa he koi hejar k mara ho ga, mujh ko maloom hai joonhe mein kadam rekhoon ga, zindagi tera koi aur kinara ho ga, kaam mushkil hai mager jeet he loon ga oos ko, merey moola ka wasi joonhe estara ho ga...!!!! 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

terey jessa mera bhi haaal

tha , na sakoon tha na karar tha, yehe omar thi marey hum nasheen , k kisi sey mujh ko bhi piyaar tha. mein samajh raha hoon terey kasak, tera mera dard hai mush tarak, essi gham ka tu bhi aseer hai, essi doakh ka mein bhi sikaar tha. woh saroor essa saroor tha, woh khomar essa khomar tha kabhi lamha bhar ki bhi guftagu, mere os k saath na ho saki, mujhey forsatein na mil sakein , woh hawa k roat per sawar tha, hum ajeeb tarz k loag thy, k hamarey aur bhi roag thy, mein khezaoon mein oss ka tha montarzar, ossey intazarey bahar tha, essey phar kar tum na samajh sakey, k mere kitab k roop mein kohe karz tha kisi saal ka, kahe rutjaghoon ka odar tha.......................... -¦- `v´ -¦- *¤*.¸¸.·´¨`»*«´¨`·.¸¸.*¤* *¤*.¸¸.·´¨`»* * SaaMer* *«´¨`·.¸¸.*¤* *¤*.¸¸.·´¨`»*«´¨`·.¸¸.*¤* 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Zindagi Main Hai Dhoka Is

Ke Siwa Kuch Nahi Tamashaei Hai Yeh Dunya Is Ke Siwa Kuch Nahi Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kia Hai Zindagi Hai Aik Khuwaab Is Ke Siwa Kuch Nahi Khushiyan Hain Lakhon Is Dunya Main Magar Udasi Hai Mere Dil Main Is Ke Siwa Kuch Nahi Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hain Khush Hokar In k Dilon Main Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahi Wade,Karte Hai Log Magar Jante Nahi Wafa Karna Bewafai Hey Is Dunya Main Is Ke Siwa Kuch Nahi Pal Main Jisse Chaha Usse Pal Main Bhula Diya Yeh Khel Hey Dunya Ka Is Ke Siwa Kuch Nahi 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Tujhe Ishq Ho tujhay ishq

ho Khuda karay koi tujh ko us sa juda karay teray hont hansna bhol jaain tere ankhain purnam raha karain tu us ki batain suna karay tu us ki batain kia karay tu us ko dekh k ruka karay woh tujh ko dakh k ruka karay tujhay hijar ki woh jhari lagay tu milan ki har pal dua karay tujhay ishq ho phir yakin ho usay tasbeeho pay parha karay main kahoo ishq sab dhong hai tu nahi nahi kia karay yah dua hai atish ishq main tu bhi mare tarah jala karay na naseeb ho hansna tujhay tera dil main dard raha karay teray samnay tera ghar jalay tera bas chalay na bhuja sakay tere lab sa niklay yahi dua k na dil kisi ka jala karay ..vari sad one.. 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Kabhi kabhi dil yeh chahta

hai tumhari shamon ka haal poochon sawaal poochon ke fiker e farda main kaisi guzri younhi kabhi mera naam aaya tumhare honton pe ek pal ko mrri muhabbat ki yaad mehki kabhi tumhare bi raston main kabhi kisi din tumhari subha ke dar pe jagi sadaye dastak kabhi ibbadat ki kayfiat main tumhein mera bi gumaan guzra tumhare sehan e dua se mera bi dheyaan guzra kabhi tumhare badan pe bi shab e azaab ban ker thehr gayi thi kabhi kabhi dil yeh chahta hai'sawal pochon mager main chup hoon hamarey dermiyaan yeh ju deewar e ajnabeeyat hai yeh gannimet iisi main tukeere hurf o lub hai yehin pe tarq o talb ki hadd hai 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Muhabbat ki aziyyat ko kabhi

pehchaan paaw to, mujhe bhi khabr ker dena, ke tum se door reh ker bhi, tumhaary naam ki khushboo, meri her saans se ik aas ka rishta bandhaati hai!!! Muhabbat toot bhi jaaye, muhabbat rooth bhi jaaye, muhabbat mit nahi sakti... Dilo'n ke teher jaaney se, judaai ke zamaaney se, muhabbat chup to sakti hai, muhabbat mar nahi saktii!!! 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

mujhay har kaam say pehlay sahar

mujhay har kaam say pehlay sahar say shaam say pehlay ye he ek kaam karna hai tumhara naam layna hai tum he ko yaad karna hai kay jab bhi dard peena hai kay jab bhi zakhm seena hai mujhay jab jaam layna hai tumhara naam layna hai tumhee ko yaad karna hai tumhareyaad hai dil mein kay ik sayyad hai dil mein koi barbaad hai dil mein issay aabaad karna hai tumhara naam layna hai tumhee ko yaad karna hai ..0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

.....................&quo t;Yeh Dil Mahobbat Karta Q

....................."Yeh Dil Mahobbat Karta Q Hai "Yeh Dil Mahobbat Karta Q Hai Jo Karta Hai Tu Phir Tarapta Q Hai Jo Beth Gaya Hai Dil Main Pyar Ka Dard Ban Key Woh Ankhoon Key Rastey Nikalta Q Hai Main Terey Sath Hun Har Rah Main Mujhsey Kehte The Woh Tu Phir Aaj Yeh Rasta Mujhey Sunsan Lagta Q Hai Main Dharkan Hon Us Key Dil Ki Woh Kehte The Mujhsey Phir Aaj Us Ka Dil Merey Bina Dharakta Q Hai Woh Mere Nahi Hai Yeh Janta Hon Main Phir Bhi Kisi Or Key Sath Dekh Key Us Ko Dil Machalta Q Hai Yeh Dil Bhi Ajeeb Hota Hai Dostoon Kabhi Kehta Hai Ja Tham Ley Us Key Hathoon Ko Phir Reh Reh Key Sambalta Q Hai 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

woh kaysa shaks hy hr

roz saza dyta hy.. ...phir hasata hy wo itna k bhulaa dyta hy, kabhi jo ro dy to mujh ko bhi bhol jata hy. ..or phir bhol k mujh ko bhi rula dyta hy ,os pochon k bata kon dost hy tera.. .naam sargoshi main mera hi suna dyta hy, khud hi kehta hy na dohrao purani yadain.. ..main na dihraon to phir khud hi suna dyta hy 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

kisi kitab mein tha na

dastan mein tha ajeeb soz merey zakhmoon ki zuban mein tha zameen ne mujhay gaud le lia warna sitara saaz ne rakha tu asman mein tha mein sabz bakht k soya hua tha manzil per utha tu dasht e musafit k darmyan mein tha mein pukarta kis ko sadayien kia deta mein chhat per pohncha tu darya merey makan mein tha ...0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588