September Urdu Hindi sms messages

Dil ki Halat batana nahi

aata … Kisi ko aisey Tarpana nahi aata …. Sunna chahte hain ek baar Aawaz aap ki … Magar baat karne ka Bahana nahi aata !! Unhein Piyar karna nahi aata …. Aur Hamein Piyar ke siwa kuch nahi aata …. Jeene k sirf ye Do hi raste hain …. Ek unhe nahi aata ek Hamein nahi aata !! 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

HAR PHOOL KI KISMAT ME

KAHAN NAZ-E-AROOSAN.. KUCH PHOOL TO KHILTE HEN MIZAROON KI LIYE.. BY ALI 03462734488

yeh AANSU bhi 1 pareshani

hai, Khushi aur gham dono ki nishani hai, samajh ne walo k liye anmol aur na samajh k liye sirf paani hain. Maddy - 03455232330

pani mile to pi lena

barish ka kya bharosha, pyar mile to kar lena jindgi ka kya bharosha.

chupke se jo mere dil

ko chooker kahin chip jaati hai woh uski baatein hain jo muhe aaj bhi yaad aati hai roz mere sapno mein aa ker mjhe rula jaana uski aadat si hai fir subah bina kuch kahe ansuon ke sang ankhon se beh jaati hai chah ker bhi na bhul paaya main woh haseen pal,woh meethi baatein chhod gaye woh mjhe tanha si.ab bachi hai sirf unki yaadien... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

os kay bina ab chup

chup sa rehna acha lagta hai.. khamoshi say dard ko sahna acha lagta hai.. jis hasti ki yad main ansuu barastay hain.. samnay oskay kuch na kehna acha lagta hai.. milker os say bicharna jaoon darta rehta hoon.. is leye bas door he rehnaa acha lagta hai.. janta hoon k chahat main bas ansuu he miltay hain.. kuch bhi ho abb iss zahar ko peena acha lagta hai.. jee chahay sab khushyaan laiker os ko day doon.. oskay pyar main sab kuch khonaa acha lagta hai.. oska milnaa na milnaa kismat ki baat hai.. pal pal oski yaad main rona acha lagta hai.. os kay bina sab khushyaan ajeeb si lagti hain.. ro ro ker os ki yaad main sonaaa acha lagta hai.. 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Woh Shukhs K Main Jis

Se Mohabbt Nahi Kerta Hansta Hai Mujhe Dekh k, Nafrat Nahi Kerta. Dete Hain Ujalay Mere Sajday Ki Gawahi, Main Chup K Andheroon Main Ibadut Nahi Kerta Duniya Main Qateel Is Sa Munafik Nahi Koi, Jo Zulm Tu Sehta Hai Baghawut Nahi Kerta 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Meri raatein teri yadon se

saji rehti hain Meri saansein teri khusboo mein basi rehti hain Meri aankhon mein tera sapna saja rehta hai Haan merey dil mein tera aks basa rehta hai Is tarha mere dil k buhat paas ho tum Jis tarha paas hi sheh rag k khuda rehta hai tum ko maloom bhi shayed ye kabhi ho k na ho Merey aangan mein lage phool gawahi dein ge Main ne arse se kisi phool ko dekha bhi nahi Tujh ko socha hai to phir tujh ko hi socha hai faqat Bas kisi aur ko tere siwa socha bhi nahi tum ko maloom bhi shayed ye kabhi ho k na ho... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

bhool gaya hai yeh dil

.. khushiyon ke mehfil sajaana.. jaise bhool gaye hai hum ke.. ek waada tha nibhaana.. ek waada dosti ka.. ek waada bandagi ka.. ek waada zindagi ka .... kaash woh karde hamaari is khata - e - muhabbat ko.... yaa phir jal jaaye hum is bewafa dil ke angaaron mein .... kaash yeh tanhaayiya nahin laati yaadein un ki.... tho na likhte hum unke yaadon mein ..... na is dil mein un ke liye pyaar hota ... na hamein yeh shab-e-gham ka intzaar hota ....... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

dard ka kard is kadar

hei ki, aankhein num rehti hein kuch aansu jo humne bahaye hi nahi or aapne sumjha hum kabhi roye he nahi aap puch rahe the kuch meri nind ke baare mein or ik hum hein ik umer se soye hhi nahi tere intezaar mein jo saanse li hein ab tak har saans ka dard kuch is kadar hei ki tujhe pani ki koshish thi tjhe khone ka gumm hei teri yaad mein ye aankhein barson se numm hein ...0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Humay koi ghum nahi tha

gham-e-zindagi se pehley Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehley Hai ye meri badnaseebi tera kya kasoor is may Tere gham ne maar dala mujhe zindagi se pehley Mera pyar jal raha hai aey chand aaj chup jaa Kabhi pyar tha humain bhi teri chandni se pehley Main kabhi na muskuraata jo mujhe ye ilmm hota Ke hazaaron gham milain gay mujhe ek kushi se pehley......0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

kitni bechain hai ye sanse

meri bina tere bohat roti hain ye aankhein meri kab se meri aankho ko neend aati he nahi bahain mangti hai mujh se ratain teri jaan aajao k ab dil kahi lagta hi nahi tum ko bola rahi hai ye bahein meri kitni bechain hai ye sanse meri bina tere bhut roti hai ye aankhein meri 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

kabhi royegi meri yaad mein

tanha ujjad chuka hoga aashiyan ho jaunga mein fanaa mere har baat ko tasvir banake rakhna mera intezaar apni aankhon mein banake rakhna tjhse maangi thi khushiyan maine tune gumm bhi dene se inkaar ker diya jaante hue yaad karna mud mud kar mere aansu teri awaaz ko taras rahe the humein meffilon mein bhula dena lekin bahut yaad aaunga maine tanhaiyon mein kabhi royegi meri yaad mein tanha dekhna 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

na reh paoge tum bhi

mere bin baut pachtaoge tum bhi mere bin har waqt yaad aayegi tumko meri soona paoge tum bhi mere bin har dagar har jaga aaongi mein nazar tarap tarap ke mar jaoge tum bhi mere bin yaadein meri satayengi baatein meri bin intezar hai mjhe us lamhe ka jab jee na paoge tum bhi mere bin... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Kabhi jo maazi main jhankoge tumhain

Kabhi jo maazi main jhankoge tumhain hum yaad aayenge Kisi lamhe kuch jo sochoge tumhain hum yaad aayenge Kabhi yun hi akele main beet-e- dino ko soch ker Koi geet jo gungunaoge tumhain hum yaad aayenge Sab doston ki mehfil main Kisi shokh si baat per zer-e-lab jo muskuraoge tumhain hum yaad aayenge Zindagi ke kisi morr per Apne Dil ki baat ko Kisi se keh na paoge ..0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Hawa Jab Teez Chalti Hai tumhari

Hawa Jab Teez Chalti Hai tumhari Yaad Aati Hai.. Kabhi Chanda Ko Main Dekhon Kabhi Tarey Main Gintta Hoon Kabhi Chandni Muskurati Hai Aur Ziker tumhara Hota Hai.... Zamana Hai Bohat Zalim Kahin Yeh Cheen Na Lay tum Ko Isi Liyey Main Buss Khamosh Hota Hoon Aur Ziker tumhara Hota Hai 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Yun muskuraya mera dil, Ki

tujhpe pyar aaya ae mere dil, Tuhi toh hai woh mera dil, Dhadkane jiski yahan mere dil, Mere ankhon mein tuh jhaank, mohabbaat sae zyada mohabbat, Dil ki woh aag dikhegi tujhe jo hai sirf tere liye ae mere dil.. 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Dil ko seene mein dabaye

rakha per dhadakta sirf tere liye ye dil, Tera toh naam hai mere iss dil, awaas teri bhi yahan hai iss dil, Aaaja mere tuh iss dil, ki mil jayen phir yeh do dil, Tujhko phir na karne dun mein shikwa ki humdono hain ek dil !! 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Mere jaise ban jaoge jab

ishq tumhe ho jaaye ga Deewaaron se sir takrao ge jab ishq tumhe ho jaaye ga Har baat gawarah kar lo ge, mannat bhi utaara karoge Taweezein bhi bandhwao ge jab ishq tumhe ho jaaye ga Tanhai ke jhoole khulenge har baat puraani bhoolenge Aayine se tum ghabrao ge jab ishq tumhe ho jaaye ga Jab suraj bhi kho jaaye ga aur chand kahin so jaaye ga tum bhi ghar der se aaoge jab ishq tumhe ho jaaye ga Bechaini bhar jaaye gi aur yaad kisi ki aaye gi tumhe meri Ghazal yaad aaye gi Jab Ishq tumhe Ho Jaaye Ga......0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Tere dil ko chhu ke

hawa jo guzre kabhi Samajh lena humko yaad teri aaye abhi Humne socha kaise tumko pata chale Boli hawa," Mein dila ke ehsaas aaye abhi " Saath tere chalti rahegi yun yeh fiza Jaise meri dhadkan dil mein samaye abhi Dekh ke dewaane tumko hum ho gaye Nazaron pe meri awaargi hai chaaye abhi Lag rahi hoon khush mein aaj kyun itna Lagta hai Uss ne Kismat meri banaye abhi 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

kahi chand rahoon mai kho

gaya,kehi chandni batak gai, mai chirag vo b buja hua , meri rat kaisy chamak gai, meri dastan ka arooj tha ,teri nam palkon ki chayon mai, mery sath tha tujy jagna , teri ankh kesy chapak gai, bala hum mily b to kya mily, wohi doorian wohi fasily, na kabi hamary kadam bhary, na kabi tumhari jijak gai, tery hath sy mery hont tak wohi intezar ki piyas hai, mery nam ki jo sharab thi kahi rasty ma chalak gai, tujy bhool jany ki koshishain kabi kamyab na ho sakin, teri yad shah-e-gulab hai , jo hawa chali to lachak gai, 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Khud Apni Pehchaan Se Anjaan

Hoon Main, Apna Tarruf Aapse Karwaoon Kaise.. Kuch Simti Hui Chhoti Si Duniya Hai Meri, Iss Dil Ki Gehraiyon Mein Aapko Le Jaoon Kaise.. Aasman Ki Uchaiyon Tak Mere Khwab Bikhre Hain, Apne Armaano Ki Hadd Main Dikhaoon Kaise.. Muskurana Meri Aadat Hai Aansuon Ko Chhupa Kar, Par Har Gham Ko Apni Hassi Se Behlaoon Kaise.. Dosti Hi Meri Chahat Hai Aur Dost Meri Zindagi, Ishq Se Apni Berukhi Ka Sabab Bataoon Kaise.. Hokar Meri Sarhadon Mein Shamil Aap Hi Jaan Lo Mujhe, Kisi Aur Tarha Aapko ShaiL Se Milwaoon Kaise 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Chaha tou bohat lakin woh

mile hi nahin Lakh koshish ki magar yeh faasla mita hi nahin Is zamane ne majboor hi is qadar kia tha K meri kisi sada par woh thehre hi nahin !~! Khuda se jholi phela kar manga tha !~! ussay Khuda ne meri dua ko shayad suna hi nahin !~! Hur aik se sabab poocha terey na milney ka !~! Hur aik ne kaha woh tere liye bane hi nahin !~! Main apni tamam koshishoon k bawajood tujhey har gaya ~! Aur tu ussay mil gaye jis ne tujhey kabhi manga hi nahin !~! ...0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Naya Ek RABT paida kyoon

karen HUM? Bicherna Hai to JHAGRA kyoon karen HUM? Khamoshi se Ada ho RASM-E-DOORI... Koi Hungama barpa kyoon karen HUM? Ye Kaafi hai k HUM (HUM'tum ) Dushman nahi hain... Wfadaari ka DA'wa kyoon karen HUM? Wafa,Ekhlaas,Qurbani,Muhabbat... Ab in Lafzoon ka peecha kyoon karen HUM? Hamari he Tamanna kyoon karo tum? tumhari he Tamanna kyoon karen HUM? Kia tha Ahad jab Lamhon main HUM ne... To saari Umr Efaa kyoon karen HUM? 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

Mujh main Khushbu basi "Usi"

ki hai, Jese ye Zindagi Usi ki hai... Wo kahin Aas-Paas hai Mere, Ho Na Ho,Ye hansi "Usi" ki hai... Ab to Ye khwab b nahi Mere, Ab to ye Neend b "Usi" ki hai... Ya to koi Kami nahi Mujh main, Ya phir Mujh main kami "Usi" ki hai... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588

unhee chahna humari mazbori ban

gayi na chhana bhi ek kamori ban gayi kaise bhul jaye unhee.. jo toh dil ki har dhakan ban gayee hai....... 0300 2711 588 (~ Tµm ßîñ ~) SaaMer +92 300 2711 588