Urdu sms messages

If you have a girlfriend, boyfriend, wife, husband...a secret lover. Then these cute love messages and love quotes are for you. Romantic text messages galore find the perfect message to send to your lovers Mobile Phone.

Hum hi me thi wo

baat, Jo yaad naa tum ko aa sake, Tum ne hume bhula diya, Par hum tumhe naa bhula sake. SaaMer +92 300 2711 588

Hum ne to jaan loota

di pyaar me, Mehboob ne hi dhokha de diya, Hum ne to khushiyaan maangi thi, Uss ne hi zindagi bhar kaa gum de diya. SaaMer +92 300 2711 588

Kabhi-kabhi dil zaroor roota hai,

Jab koi mill kar nazroon se door hota hai, Iss liye rooti hai kambakth aankhe, Kyun ki dil se zyada inn ka kasoor hota hai. SaaMer +92 300 2711 588

Mehfil bani rahe yuhi tumhari,

Chahe bikhar jaaye ye zindagi humari, Deewangi iss kadar ban gayi hai, Ke seh naa paaye ek pal judaii tumhari. SaaMer +92 300 2711 588

Teri berukhi dekhi zamane ka

gum dekha, Zamane ki tadap dekhi judaii kaa gum dekha, Hazaaroon gardishe tooti, Naa hum toote ne ye dil toota. SaaMer +92 300 2711 588

Dil ki chotoon ne kabhi

chaine se naa rehne diya, Jab chali sard hawaaye maine tujhe yaad kiya, Iss ka roona nahi kyun tumne yaad kiya, Iss ka gum hai ki bahut daer me barbaad kiya. SaaMer +92 300 2711 588

Palkon pe sapne saja lein,

Tum kaho to muskura lein, Ye zindagi-zindagi si lage, Agar hum tumhe paa lein. SaaMer +92 300 2711 588

Log kehte hai mohabbat me

hum mar jaayeinge, Raah kaisi bhi ho hum guzar jaayeinge, Tum sitam karke mohabbat ko naa mite paaoge, Hum sitam seh kar bhi tere dil me utar jaayeinge. SaaMer +92 300 2711 588

Zamin me koi nami nahi

hai, Phoolon ke aanchal me koi kami nahi hai, Meri mohabbat ko thukra naa dena, Kyun ki meri mohabbat me koi kami nahi hai. SaaMer +92 300 2711 588

Unhe bhi hum se mohabbat

ho zaruri to nahi, Ek si dono ki halat ho zaruri to nahi, Badli-Badli si nazar aati hai duniya hum ko, Iss me unki bhi inayat ho zaruri to nahi, Jiss ko kehte hai mohabbat hai khuda ki nehmat, Sab ki kismat me ye daulat ho zaruri to nahi, Chand chunn-ne ki tamanna to hum ko bhi hai, Magar door kaa chand haqiqat ho zaruri to nahi. SaaMer 0300 2711 588

Khwaboon mein tera chehraa parhtaa

hoon, Khawaab ko haqeeqat banaoon kaise !!! Ikhteyaar mein mere ab kuch bhi nahin, Akele ik aashiyaan banaaon kaise !!! Bekhudi ki yeh to ibtedaa hai, Intehaan ki hudd tak jaoon kaise !!! Meri ghazalein hain tumhaara aainaa, tanhaayee mein ab nazm banaoon kaise !!! SaaMer +92 300 2711 588

sWo Apne Ishq Mai Kesa

Kamal Rakhta Hai Ke Be-Rukhi mai bhi Mera Khayal rakhta hai Wo Aaj nahi Mera, Wo Lal Mera hoga Ke her Zamana Urooj-o-Zawal rakhta hai Tera Khayal hi kuch Meharban hai warna Jahan mai kon kisi ka Khayal rakhta hai Ek Sar-Sari Nazar Wo Mujh pe bhi daal de Ae Rab-e-Zuljlal! ! use itna Khayal de Itna bhi Urooj kia k Wo mil hi na sake Wo ho sake Mera use itna Zawal de SaaMer +92 300 2711 588

Poochti hogi hawaon se mera

haal e dil woh Uski galiyon se hawa jab bhi guzarti hogi. Apne seene se laga kar meri tasveer ko woh Aahen raaton ko mere pyar mein bharti hogi. Jhooti aane ki khabar paake wohmeri "SaaMer". Kabhi sajti to kabhi aur sanwarti ho gi.. SaaMer +92 300 2711 588

Badalna ata nahi humko mousamon

ki tarha Har ek roop main tera intezaar karte hain Na samait sakogi jise qayamat tak Qasam KHUDA ki tumhain itna pyar karte hain SaaMer +92 300 2711 588

Jane Kya Zehar Chupa Hai

Teri Ankho me, Batein Krtai Hoe Gum Ho jata hoon Teri Ankho me, Jo Hoti Hai Chahat mere dil me mehsoos mujko Wo hi mehsus krna chahta hoon teri ankho, Ek bar Sirf Ek bar Keh do k tum meri ho me bhi doob kr kr dun ga izhar-e-mohabbat teri ankho me..... SaaMer +92 300 2711 588

meray qareeb to aao bohat

udass hoon mein, bus aaj toot ke chaho bohat udass hoon mein, kisi bi jhooti dilaasai se dil ko behlaoo, koi kahani sanao bohat udaas hoon mein, andhari raat hai kuch bi nazar nahi aata, sitaray toor ke lao bohat udaas hoon mein, SaaMer +92 300 2711 588

Yeh Sayaahi se likhe gaye

Lafz sirf lafz nahi, Yeh Zindagi hai meri koi Afsana nahi, Khilona mat Samajhna in Aansoon ko, Yeh kahani hai meri kuch adhuri si

Wahi raat ki khamoshi,wahi tanhai,ye

hawa apne sath kisiki yaad le asye, Hum to baithe us chand ko dekh rahe the,na jane kisike liye aank bhar aaye SaaMer +92 300 2711 588

Zindagi K Mod par ek

aisa waqt Aata hai, Jab Insaan apne-Aapko tanha pata Hai. Wahi tanhayia To batati hain , Ki Kaun Kiska kitna saath nibhata Hai. SaaMer +92 300 2711 588

Pyar mohobbat to sabhi karte

hai, Pyar ke dhoke me sabhi jalte hai. Hum na pyar na mohobbat karte hai, bas aap jaise yaron ki yari pe marte hai. SaaMer +92 300 2711 588

Jagti aankho me ek khwab

aaya, koi humdard hai mera ye khayal aaya. chot lagi dil pe toh dhyaan aaya, kal bhi tanha the aaj bhi khud ko tanha paya. SaaMer +92 300 2711 588

Hume to pyaar tha sirf

unn se, Dil bhi unhi ko diya tha, Unhe pyaar tha kissi aur se, Dhokha sirf hum ko mila... SaaMer +92 300 2711 588

Sapne ki tarah tujhe saja

ke rakhu, Chandini raat ki nazroon se chupa ke rakhu, Meri taqdir mere saath nahi, Warna zindagi bhar tujhe apna bana ke rakhu. SaaMer +92 300 2711 588

Jab Panchi Sare ur jayin..

Har simat andhera cha jaye, Jab guzri batein yad aen, or bitey lamhe tarpaen, mat tanha tanha ghabrana, tum pas hamare ajana, jab koi din main sham kare, ya lab ki hansi badnaam kare, jab wahshat dil ka naam kare, ya ankh main nend haram kare, mat tanha tanha ghabrana, tum pas hamare ajana, dil preet hamari duhraye, ya reet purani yad aee, jab milne ko bhi dil chahe, Or pyaar bhara na dil pae, mat tanha tanha ghabrana, tum pas hamare ajana... SaaMer +92 300 2711 588

Hum na hote to aapko

gazal kaun kehta, apke chehre ko gulab kaun kehta, Ye to karishma hai hum pyar karne walon ka warna pattharon ko Taj Mahal kaun kehta. SaaMer +92 300 2711 588

Ishq aisa karo ki Dhadkan

me bas jaye, Sans bhi lo to khusboo usi ki aye, Pyar ka nasha Aankhon per chaa jaye, Baat kuch bhi na ho lekin Naam usi ka aye... SaaMer +92 300 2711 588

TUM MERI ANKH KA SAPNA

HO AGAR TUM SAMJHO TUM meRI ZAAT KA HISSA HO AGAR TUM SAMJHO HO NAHI SAKTI JUDA PHOOL SE KHUSHBO JAISAY SATH HUMARA BHI KUCH AISA HAI AGAR TUM SAMJHO.. SaaMer +92 300 2711 588

Tum milo na milo milne

ka gham nahi, tum pas say guzar jao yeh milne se kam nai, mana k tumhain hamari qadar nai magar unsey poocho jinhain hasil hum nai SaaMer +92 300 2711 588

Ishq waale khub wafaaon ka

sila dete hai, Har mood par ek zakhm naya dete hai, Aye-Dost iss jahan me koi apna nahi, Jab aag lagti hai to patte bhi hawa dete hai.... SaaMer +92 300 2711 588

Dil to Kehta hai, Zamane

se chupa loon Tujh ko Dil ki Dharkano ki tarah Dil mai basa loon Tujh ko Koi Ahsaas Judai ka rehne na paye Is tarah Khood mai Meri Jaan sama loon Tujh ko Tu jo Roothey kabi Mujh se Mere Dil k Maalik!! Sari Dunya se Khafa ho ke Mana loon Tujh ko SaaMer +92 300 2711 588

Zindgi mein jab b unse

mulakat huye, meri aankho se aansuo ke barsat huyi. Duniya ne loot liya mere dil ka sakuun, kya shikait kisi se karu ke kya baat huyi. SaaMer +92 300 2711 588

Zikr jab b aap apno

ka kiya karen, Naam hamara b unme liya karen. Tareef nahi to burayi hi sahi par apne Alfazon mein jagah hamein b diya karen.. SaaMer +92 300 2711 588

Tanhaiyo ke shahar me ek

ghar bana lia, Ruswaiyon ko apna mukkadar bana lia. Dekha hai yaha pathar ko pujte hain log, Bas isliye apne dil ko pathar bana lia. SaaMer +92 300 2711 588

Phulon ki Tareef sab Karte

hain, Badi Mushkil se Log Kanton pe Gaur Karte hain. MALI to Sirf Naam ke hote hain, Phulon ki Hifazat to Kante hi Karte hain... SaaMer +92 300 2711 588

Chand ne Chandani ko yaad

kiya, pyar ne pyar ko yaad kiya. Par hamare paas na pyar hain na chand, Isliyen humne apne Chand se bhi pyare Dost ko yaad Kiya. SaaMer +92 300 2711 588

Dìl kè koñè $è èk

Awäz äti häì Hämèìñ her päl ùñkì Yääd äti häì Dìl pùchtä häì bär-bär Hüm $è Jìñhèìñ Hùm yääd kärtè häìñ, Kìä uñhèìñ ß Hämäri Yääd äti häì §ååMè® +92 300 2711 588

Kya kya Tere Naam likhon.

. .? "DIL" likhoon k "JAAN" likhoon? Aansu chura k Teri Pyari Aankhon se. . . ! Apni har Khushi Tere Naam Likhoon SaaMer +92 300 2711 588

Har injam ke hakdar wo

hame bana jate hai, har khata ki saja wo hame suna jate hai, ham har bar khamosh rah jate hai, kyunki wo har bar Dost hone ka hak jata jate hai... SaaMer +92 300 2711 588

Sabki Jindagi me Khushiya dene

wale, mere yaar ki jindagi me koi gam na ho, usko mere se bhi accha sathi mile, jab duniya me ham na ho... SaaMer +92 300 2711 588

Naino me base ho zara

dhyan rakhna, apni dosti yun hi aabad rakhna, mujhe to aadat hai aapko yaad karne ki, agar hichkiyan aati rahein to maaf karna SaaMer +92 300 2711 588

Koi dost aisa banaya jaye,

jiske aasuon ko palko mein chupaya jaaye, rahe uska mera rishta kuch aisa, ki agar wo rahe udaas to humse bhi na muskuraya jaye SaaMer +92 300 2711 588

Wo 1 dost jo khuda

sa lagta hai, bahot pass he dil ke fir bhi juda sa lagta hai, bahot der se aya nahi sms uska, shayad kisi bat se khafa sa lagta hai... SaaMer +92 300 2711 588

Tum bhulakar to dekho humein,

har khushi tumse rooth jaayegi. Jab bhi sochoge doston ke bare mein, yaad khub-b-khud hamari aayegi. SaaMer +92 300 2711 588

Mausam ki bahaar achchhi ho,

phoolon ki kaliyan kachchi ho, hamari yeh hasrat sacchi ho, rab bas ek dua hai ki mere dost ki har raat achchhi ho SaaMer +92 300 2711 588

Dilo ko khareedne wale hazar

mil jayege, aap ko daga dene wale bar-bar mil jayege, milega na aapko hum jesa koi, milne ko to dost beshumar mil jayege. SaaMer +92 300 2711 588

Kabhi badli hui takdir nazar

ati hai, yado ki bas ek zanjir nazar ati hai , pade bhi to kya pade yaar- mujhe mobile me bhi teri tasveer nazar ati hai SaaMer +92 300 2711 588

In ankho mai aansu aye

na hote agar woh pichhe mudkar muskarye na hote, unke jane Ke bad ye dil rota hai, kash woh jindagi main aye hi na hote! SaaMer +92 300 2711 588

Meri ankho me mat dekh

tuje apna bna lenge. Na dil k kareeb aa tuje mohbat sikha denge. Gehra hai tujse rishta itna k khwabo me aye to teri neende chura lenge SaaMer +92 300 2711 588

Jab khiyal kiya to khiyal

bhi tera aya, Jab ankhe band ki to khwab bhi tera aya, Socha yad karlu us khuda ko,Magar honth khule to naam bhi tera aya. SaaMer +92 300 2711 588

TARASTA HAI DIL TERI AWAZ

K LIYE, TERE MOHABAT BHARE DO ALFAZ K LIYE, KARDO HUMHE FANAA APNI IS ADA K LIYE, TADAPTE HAI HUM TUMHARI EK MULAKAT K LIYE.. SaaMer +92 300 2711 588

yuhi kabi sapno se dil

lagaya karo kisi k khwabo me aya jaya karo jab bi dil kare ki koi tume bi subah jagaye bus hume yaad karke pehle so to jaya karo gud nyt SaaMer +92 300 2711 588

Dosti Hoti Nahi Bhul Jane

Ke Liye,Dost Milte Nahi Bikhar Jane Ke Liye,Dosti Karke Khush Rahoge Itna,Ki Waqt Milega Nai Aansu Bahane Ke Liye. SaaMer +92 300 2711 588

kaash aasoun ke saath yaadein

beh jati kaash ye khamosi sab kuch keh jati kaash kismat tumne likhi hoti to shayad meri kismat me pyar ki kami na rah jaati SaaMer +92 300 2711 588

Pani ki bunden phulon ko

bhigo rhi hai, Thandi -2 lehrein 1 tazgi jga rhi hai, Ho jaiye aap bhi inmein shamil, Ek pyari c subha apko bula rhi hai Good Morning. SaaMer +92 300 2711 588

Khushi ka har pal ho

tumhare liye,baharo ka gulista ho tumhare liye,kamyabi ki manzil ho tumhare liye,Bas kuch pal tumhare ho hamare liye. SaaMer +92 300 2711 588

Jab jab sooraj niklega tab

tab aapko duaen denge, jab jab shaam dhalegi tab tab aapko duaen denge, karte hai aapse itna pyaar Khuda ki kasam, aaoge jab jab hamare khwabon me tab tab aapko duaen denge. SaaMer +92 300 2711 588

Mere pyar ko duniya me

koi samaj na paya, rote the jab tanha koi mere saath na aya, mita diya khud ko uske pyar me, aur kehte hai log ki mujhe pyar karna na aya SaaMer +92 300 2711 588

Na pine ka shonk tha

na pilane ka shonk tha. Hume to sirf nazre milane ka shonk tha. Par kya kre yaro hum nazre hi unse mila bathe jine nazro se PILANE ka shonk tha. SaaMer +92 300 2711 588

Mohbat karne wale ko deewana

keh diya, mohbat me jalne wale ko parwana keh diya, dafna diya mohbat ko pathar ke niche, aur logo ne use TAJMEHAL keh diya... SaaMer +92 300 2711 588

Jab koi khayal dil se

takrata hai,dil na chah kar bhi khamosh reh jata hai,koi sab kuch keh kar pyar jatata hai,toh koi kuch na keh kar pyar nibhata hai! SaaMer +92 300 2711 588

Kyun tumhare is ashiq ka

parwano me naam lete ho..keh kar ke dil doge humari jaan lete ho.pata hai nahi rakh sakte hum apni dhadkano pe kaabu phir kyun humari mohabbat ka imtehan lete ho.. == SaaMer +92 300 2711 588

Dil unke liye he machalta

hai..thokar khata hai or sambhalta hai..kisi ne is kadar kar liya dil par kabja..dil mera hai per unke liye dhadkta hai.. SaaMer +92 300 2711 588

Phool hote to teri rahon

me bichh jate gum hote to tujhe kabhi na satate. Ye aur baat hai ki tere dost hain hum na hote to bhi tuj hi pe jaan lutate. SaaMer +92 300 2711 588

Mahek unki aaj bhi meri

sason me hai, har ek adaa unki meri in aankhon me hai. woh bhale mita de dil se mera wajud, Magar unki jagah aaj bhi meri in yaadon me hai. SaaMer +92 300 2711 588

dilo ki dharkan ab band

honey ka keh rahi hai mehboob se judayii ab khattam honey ka keh rahi hai ayega kissi din kissi lamhey samney mere yahi hai khuwish ye hamari chahat keh rahi hai Cell No.+923005515193

ye zuban pyar na karney

ka keh rahi hai par tarap ussey baraney ka keh rahi hai chaha ke rok loo jo kuch bhi horaha hai par nahi rookta ye hamari chahat keh rahi hai Cell No#.+923005515193

esk had se paar ho

jaye, ho jaye woh zindgi bekarar kisi ke santh aisa na ho ya rab ke kisi ke pyar ko kisi se pyar ho jaye, Navin chhalwant

har aahat mai kyo lagta

hai ki yum ho har aawaj mai kyo lagta hai ki tum ho har dahadkan mai kyo lagta hai ki tum ho kyo ki tum mano ya na mano meri jinagi mai bas tum hi tum ho tumhi tum ho tumhi tum ho i love u(rozina sthapit)

TUM sy he mohbat krta

hun TUMHARY sy he ghazal lekhta hun TUMHIsy raat ki khani hy TUMHI sy subha ki jwani hy TUMHI mohbat ki ek nazar ho TUMHI mera afsana or ghazal ho TUM moor ki khubsurti ho TUM raat k bad ki sehar ho TUMsawan ki ghtaon mein ho TUM khzaan k bad bhaar hoor TUM he mera pehla " AYR HO "

Wo Keh Ke Chalay Itni

Mulaqat Bohot Hay Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana Aisay Main Kahan Jao Gay Barsaath Bohat Hay Wo KhayNay Lagay Jana Mera Bohat Zarori Hay Nahi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay Ger Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nahi Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nahi Phir KAbhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Kay Sari Zindagi Tanhayee Ke Liye Aaj Ki Raat Bohot Hay

Suno acha nahi lagta Karay jab

Suno acha nahi lagta Karay jab tazkra koi Kray jab tabsra koi Tumhari zaat ko khojay Tumhari baat ko soochy. Suno acha nahi lagta Tumhari muskuraht per Hazroon log martay hoon Tumhari ik ahat per Hazaroon dil dharakty hoon Kisi ka tum peh Yoon marna Mujhay acha nahi lagta. Suno acha nahi lagta K tum ko phool bhi daikhain Tumhare bas se mehkain Ya chaand ki guzarish ho K apni roshni bakhsho Mujhay acha nahi lagta Suno acha nahi lagta Karay jab tazkra koi Kray jab tabsra koi Tumhari zaat ko khojay Tumhari baat ko soochy. Suno acha nahi lagta Tumhari muskuraht per Hazroon log martay hoon Tumhari ik ahat per Hazaroon dil dharakty hoon Kisi ka tum peh Yoon marna Mujhay acha nahi lagta. Suno acha nahi lagta K tum ko phool bhi daikhain Tumhare bas se mehkain Ya chaand ki guzarish ho K apni roshni bakhsho Mujhay acha nahi lagta

Bicher kar phir milain gy

yaqin kitna tha, tha to ek khwab per haseen kitna tha, mere zawal sy phlay wo muj ko chor gaya, Haseen to tha per socho zaheen kitna

Aaj mausam bohat haseen hai, Par

Aaj mausam bohat haseen hai, Par dil bohat ghamgeen hai, Jab uss nai poocha wajha kya hai , Hum nai kaha maloom nai hai...

Bheer mein kuch akeli si

hoon, Na jane kyun kuch khamosh si hoon, Bohat kuch kehna chahti hoon, Par shayad phir darr si jaati hoon...

Kabhi Koi apna anjan ho

jata hai kabhi anjan se pyar ho jata hai, ye jaruri nahi , k jo khushi de usise pyar ho ,Aksar dil todne walon se bhi pyar ho jata hai

Apni wo pehli mulaqat aduhri

si lagi, Paas reh kay bi doori si lagi, Honto pe hasi,Ankhon main majbori si lagi, Zindagi main pehli bar kisi ki dosti zaruri se lagi.

Har khushi dil kay karib

nahi hoti, Dosti kisi ki khareed nahi hoti, Ae dost hamari dosti ko sambal kar rakhna, Aisi dosti har kisi ko Naseeb nahi hoti !!!

Yaadon ka ek jhoka aaya,humse

milne barson baad, Pehle itna nahi roye,jitna roye barson baad, Lamha lamha ghar ujda hai,mushkil se ehsaas hua, Patthar aaye thhe barson pehle,dil tuta hai barson baad....//

hoti nahi mohabbat sorat se...mohabbat

tu dil se hoti hai...sorat khud he iun ki acchi lagne lagti hai...qader jin ki dil se hoti hai... SaaMer +92 300 2711 588

ban jaoon agher tum sa

tumhain kesa lage ga ... har pal main rahoon tum se khafa kesa lage ga ....perteh ho tum mujh ko nammaz ki terhan .... ho jaoon agher tum se qazaa kesa lage ga ..tum pyaar main khud ko metane pe ho razii .... ban jayee agher pyaar saza kesa lage ga .... apne se bhi ziyada ho yaqeen tum ko kesi per ... who shaks hi de jayeee dagha kesa lage ga .. SaaMer +92 300 2711 588

Apni Aankhon Ke Samunder Main

Utar Jaane De... Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De... Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko... Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De... SaaMer +92 300 2711 588

Dua ko hath uthain tou dil

Dua ko hath uthain tou dil larazta hai k par na jaye khud apni nazar wahan k jahan naseeb likha gaya patharon k harfon say hathelion ki lakeeron k siah khalaon main kabhe shabon k kisi karbnaak lamhay main koi karah jo aa jaye bhool kar lab pay tou hoal hoal say jatay hain hoaslay saray k taar taar sama'at k zakham pehlay he dukhay hoay hain sadaon ki naarsaie say kaisay batayen k jeewan k kaarzaar main hum ajeeb haray hoay log hain k har lamha shikast-e-zaat ki tasweer main muqeed hain janam lia hai tou ab tak kai zamano say hum ik tay shuda tadeer main muqeed hain. SaaMer +92 300 2711 588

aankhain jab band kia kartay

hain samnay aap he hoa kartay hain aap jaisa he mujhe lagta hai khuwab main jis say mila kartay hain to agar chor kar jata bhe hai tou kia? hadsay roz hoa kartay hain naam un ka,na koi un ka pata log jo dil main raha kartay hain hum nay rahi ka chalan seekh lia hum akailay he chala karatay hain SaaMer +92 300 2711 588

aankhon main simti anginat tasveeren tasveeron

aankhon main simti anginat tasveeren tasveeron main teri tasveer hi nahin koi kis ummeed pe kis aas pe main dard k khaul se bahar nikloon zindagi mere haathon ki lakeeron main teri lakeer hi nahin koi..... SaaMer +92 300 2711 588

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho tum jahan peh bayth k jati ho main waheen pe betha rehta hoon us cheez ko choota rehta hoon main aisi mohabbt karta hoon tum jis se huns k milti ho main us ko dost banata hoon tum jis rustay par chalti ho main us say aata jata hoon main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho tum jin ko daykhti rehti ho wo khuwab.sarhanay rakhta hoon tum say milnay julnay k kitnay hi bahanay rakhta hoon main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho tum jahan bhi bayth k jati ho jis cheez ko hath lagati ho main waheen peh baytha rehta hoon us jaga ko choota rehta hoon main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho kuch khuwab saja kar aankhoon main palkon say moti chunta hoon koi lums agar choo jaa a to main pehroon us ko sochta hoon mainaisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho jin logon main tum rehti ho tum jin say batain karti ho tum jin say huns k milti ho jo tum ko achay lagtay hoon wohi mujh ko achy lagtay hain main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho jis bagh main subh ko jati ho jis sabzay par tum chalti ho jo shakh tumhain choo jati hay jo khushbootum ko bhati hay wo os tumharay chehray par jo qatra qatra girti hai wo titli chor k phoolon ko jo tum say milnay aati hai jo tum ko choonay aati hay un sab k nazuk jazbon main meray dil ki dharkan basti hai miri rooh bhi shamil rehti hai tum paas raho ya door raho nazron main samai rehti ho main tum ko takta rehta hoon main tum ko sochta rehta hoon main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho SaaMer +92 300 2711 588

Kabi Tum apni Mohabbat ka

Aitbaar to do Mai chahoon Toot k Tum ko ye Ikhtiyaar to do Guzarti hi nahi Mujh se ye Zindagi Tanha Sahara Pyaar ka deker isey guzaar to do Mai sochta Hoon Tumhare bagair kya hoga? Dil-o-Dimaag per ek Bhoj hai utaar to do Mere khayal ki Raahon ko Keh-Kishaan kar do K Roshni se Meri Zindagi Sanwaar to do Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar ka Mudawa hai Mai Intizaar karoon magar Zabt-e-Intizaar to do SaaMer +92 300 2711 588

Woh kehti hai k kia

ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho? main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta. Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho? main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai.. Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai? main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti. Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai? main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai. Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho? main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi. Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay? main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai. Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai? main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila haI SaaMer +92 300 2711 588

Aapse milkar khuda ki ibadat

bhool gaye, Aapki adayein dekh ke apni aadat bhool gaye. yeh kaisa jaadu kar diya hai aapne ,Aapko chake duniya ki chahat bhul gaye SaaMer +92 300 2711 588

Is dil ko to bas

teri yaad aati hai,aur is dil ko udaas kar jati hai,Koi poochta hai tumse pyaar kitna hai kuch nahi keh pate bas aankh bhar aati hai. SaaMer +92 300 2711 588

Jise ham kab se bhulaye

baithe the,Wo aaj achanak hi yaad aa gaye,Jis gam ki barish ne kiya tha barbaad,Usi barish ke badal aaj phir cha gaye. SaaMer +92 300 2711 588

tere ishq me jeete hai

tere ishq me marte hai, tum khus raho sirf yehi dua hum kiya karte hai. duniya ki to hume parvah nahi bas tumhe khone se darte hai. SaaMer +92 300 2711 588

jo sach nahi hai wo

sapna hai,sapno se sikayat kaun kare,jo dard diya wo apna hai,apno se sikayat kaun karey. SaaMer +92 300 2711 588

Koi achi si saza do

mujhko,Chalo aisa karo bhula do mujhko,Tum say bichroun tou moot aa jaye,Dil ki gharioun say dua do mujhko.. SaaMer +92 300 2711 588

Hamare zakhmo ki vajaha bhi

woh hai...hamare zakhmo ki dava bhi woh hai,woh namak zakhmo pe lagaye toh kya hua,mohabbath karne ki sazah hi woh hai..... Par haste haste Kabhi woh bhi roye honge...Yadon me hamari woh bhi khoe honge,khuli aankho se kabhi woh bhi soye honge,Mana hasna hai Aada Gham Chhupane ki,par haste haste Kabhi woh bhi roye honge... SaaMer +92 300 2711 588

Kyu dil mai koi arman

nahi duniya itni viran nahi har taraf ujale hai phirbhi tere sath koi saya hi nahi koi bhi tera ho sakta hai kabhi tune apnayahi nahi Insano ke kandhe pe insaan ja rahe hai.kafan me lipte kuch armaan ja rahe hai.jinhe nahi mili mohhobat duniya mein.mohhobat pane woh shamshan ja rahe the. SaaMer +92 300 2711 588

Aap na hote to hum

kho gaye hote,apni jindgi se ruswa ho gaye hote!ye to aap ko gd morning kehne k liye uthe hai, varna hum to abhi bhi so rahe hote.

Pearl of the Day: Aap

ki Har Subah Muskurati Rahe, Har Shaam Gungunati Rahe. Aap Jise Bhi Mile Aise Mile ki, Aap ke Milne se hi Unka Chehra Khile. Gud Mrng.

Karni hai khuda se ek

guzaarish.. teri yaari ke siva koi bandagi na mile.. har janam mein mile yaar tere jaisa ya phir kabhi zindagi na mile

Khyal tha ki hum tujhe

razdan bana lete Magar ye log nayi dastan bana lete Tu ek baar muhabbat se dekh leta to hum Zamin khud ko tujhe aasman bana lete

Kaash sab log ek jaise hote. Ek HUM HAIN, jo messg nahi apna dil bhejte hain. Aur ek AAP HA IN, jo dil

Kaash sab log ek jaise hote. Ek HUM HAIN, jo messg nahi apna dil bhejte hain. Aur ek AAP HAIN, jo dil rakhne ke liye bhi msg nahi bhejte

oh mulakaat kuch adhuri si

lagi..Paas hokar bhi duri si lagi...Honto pe hansi, aankho mein nami... Pehli baar kisi ki dosti... Saanso jitni zaruri si lagi...

Manzil Unhi Ko Milti Hai,Jinke

Sapno Me Jaan Hoti Hai,Pankh Se Kuch Nahi Hota,Hauslon Se Udaan Hoti Hai.

Kuch RAAZ ase hote hay

jinhe hum bol nahi sakte, kuch DIL ase hote hay jinhe hum tod nahi sakte,kuch LOG aap jase bhi hote hai jinhe hum chod nahi sakte

AANKO ME AAKE SUKH JAATE

HAI AANSU, PALKON ME AAKE TOOT JAATE HE ANSU. DIL KARTA HAI K BAHADU UNHE, PAR AAPKO HASTE DEKHAR SUKH JAATE HAI AANSU...

Jab b aapki yaad aati

hai, mere honthon pe ye fariyad aati hai, khuda khush rakhe aapko hr haal me, kyunke hmari khushi to aaj b aap ki khushi ke baad aati hai. SaaMer +92 300 2711 588

WAQAT GUZRY GA HAM BIKHAR

JAIN GY, KON JANY KAH HAM KIDHAR JAIN GY , HAM AAP KI PARCHAIN HIAN YAD RAKHNA , JAHAN TANHAI MILI WAHAN HAM NAZAR AAIN GY, M MUJTABA RAZA 0300 8500147 [email protected]

khabar mere marne ki sunte

hi dekho vo haatho me mehndi razane lage hai safar akhri hai koi unse kah de janaja mera sab uthane lage hain sitam jeeteji usne mujhpar hai dhaya magar baad marne ke fir ye sitam hai lahad me bhi mujhko kahan chain yaro yahan bhi farishte satane lage hai adavat ke sholo me sab rishtenate uluso vafa ke hue khaak dekho mere humsafar the jo acche dino me vahi mujhse daaman chudane lage hai

Raastey zindagi ke badal gaye garajtey

Raastey zindagi ke badal gaye garajtey huye badal thum gaye roashni bhi daga de gayi andhere ke pardey gir gaye do pal muskuraakar wo humey tanha chod gaye..

Ek khuwab tha mera ,

jo tut gaya! Phir umeed bhi ki phir khuwahish bhi ki Is khuwab ko , wapis lanay ki Is khuwab mein , wapis janay ki Is khuwab mein , bastay rahnay ki Is khuwab ko , apna kehnay ki Is khuwab ko , zinda rakhnay ki Is khuwab mein , zinda rahnay ki Lakin.... Ek khuwab tha mera , jo tut gaya....!! Fahad 0301-6656568

Sari basti main aik jadu

sa nazar aya muj ko .......jo deeracha b kholay tu he tu nazar aya muj ko...... Masood 0300 647 9686

Zindagi Mili b tu Kia

mili mill kay baywafaie mili.....itni meri khata na the jitnee mujay saza mili :( Masood 0300 647 9686

sard raato k mehekte hue

sannaato main, jab kisi phool ko choomo ge to yaad aau ga. aaj to mehfile yaaran ho magroor bohout, jab toot k bikhro ge to yaad aau ga. ab talak tumhare ashq apne honto se chura leta tha, jab haath se unhain khud poncho ge to yaaad aau ga. shaal pehnae ga koun december main tumhe, jab barish main bheego ge to yaad aau ga/

judaai aapki rulati rahegi, pal

pal yaad aapki aati rahegi, chahe hum aapse baat karein ya na karein, jabtak hai jisam mein jan har sans pyar nibhati rahegi.

umar ki raah mein raste

badal jate hain, waqt ki aandhi mein insaan badal jate hai, sochte hai aapko itna yaad na kare, lekin aankh band karte hi irade badal jate hain . . .

Karo gy yaad aik din

is payar ky zamany ko, Chaly jain gy jab ham kabi na wapis aany ko, Kary ga mehfil me jab zikar hamara koi, To tum bhi tanha dhoondo gy ansu chupany ko.

ishq aur dosti meri zindagi

ka unwaan hei.ishq meri rooh dosti mera emaan hai ..ishq pe kardun fida apni sari zindagi mager dosti per mera ishq bhey qurbaan hei. by ABDUL SALLAM 0301-381238

Aaye Na agar Tumhe Yaad

Hamari, Ham Karenge Fariyad Tumhari. Bewafa ho tum ye Na Kahenge Kisi se, Kahenge Ki Kami Thi Wafa Me Hamari. SaaMer +92 300 2711 588

Kyon koi chah kar mohobbat

nibha nhi pata, Kyon koi chah kar rishta bana nhi pata, Kyon leti hai zindagi aisi karwat, Ki koi chah kar bi pyar jata nahi pata... SaaMer +92 300 2711 588

Hum Hawa Nahi Jo Kho

Jayenge, Hum Waqt Nahin Jo Gujar Jayenge, Hum Mausam Nahin Jo Badal Jayenge, Hum To Aansu Hain Jo Khusi Aur Gum Dono Me Nzar Aynge. SaaMer +92 300 2711 588

Diwangi hamari har raaz khol

deti hai, Khamoshi hamari har baat bol deti hai. Lekin shikayat hai to sirf is duniya se, Jo DIL ke jazbaat bhi paiso se tol deti hai. SaaMer +92 300 2711 588

Kuch rishte uppar wala banata

hai, Kuch rishte log banate hai. Lekin Kuch log bina Koi rishte ke hi rishte nibhate hai. Shayad wohi dost kehlate hai. SaaMer +92 300 2711 588

Apni o mulaqat kuch aduri

c lagi, Pass ho k b thodi duri se lagi honto pe hasi, Aanko me majboori c lagi Zindagi me pehli bar kisiki dosti itni zaruri c lagi.

Chehre pay ashqo ki lakeer

si ban gayi, Jo na chaha tha vo taqdeer si ban gayi. Humne to chalaayi thi ret pe ungli gaur se dekha to Unki tasveer si ban gayi.

Saath rehte rehte youn hi

waqat guzar jayega. Dour hone k baad kaun kise yaad ayega . Jee lo eyh pal jab hum saath hain. Kal kya patha waqt kahan lt jayega.

Apne dil ki baat hum

unse keh nahi sakte, Bin kahe bhi jee nahi sakte, Ae khuda aisi takdeer bana, wo humse khud aakar kahe HUM AAPKE BINAA REH NAHI FAISAL

Nazar mlia k nazar chura

math lena, Dost banake hum ko dushman bana math dena, Mana k hun dour hai tumse Isi bath ko bana banakar humko bhula mat dena . I misss uFaisal

Haste rahe aap hazaron k

beech me, Jaise haste pool baharo k beech me, Roshan ho aap duniya me istaraha, Jaise hota hai channd sitaron ke beech may..Faisal

Ghatao se suraj nikalaya hai, Fizaon

Ghatao se suraj nikalaya hai, Fizaon me naya rang chaya hai, Aap hai ki khamosh bhe the hai, Ap toh muskuraye kyunki Phir se mere sms aya hai..Faisal

Masoom si Mohabbat ka bus

itna sa Fasana hai Kagaz ki Haweli hai, Baarish ka Zamaana hai Kya Shart-e-Mohabbat hai, kya Shart-e-Zamana hai Aawaz bhi Zakhmi hai aur wo Geet bhi gana hai Uss paar utrne ki Umeed boht kam hai Kashti bhi Puraani hai, Toofaan bhi aana hai Samajhe ya na samjhe wo Andaaz-e-Mohabbat ka Ek khaas ko Aankhon se ek sher sunaana hai Bholi si ada, koi phir Ishq ki Zid per hai Phir Aag ka Darya hai.. Aur Doob ke jana hai Fahad 0301-6656568

to naam ka darya hai

rawani nahin rakhta... Badal wo be faiz hai jo pani nahin rakhta... Ye akhri khat aakhri tasweer b le ja ... Main bholne waloon ke tasweeer nahin rakhta... by Atab nadeem sakoon 03336304099 03007923591

Tarasta hai dil teri awaz

k liye, tere mohabt bhare chaar alfaz k liye, Kardo humne fanaah apni is ada k liye, tadapte hai hum tere is pyar k liyefaisal|

Saaz-e-dil mein tarane bahut hain, Zindagi

Saaz-e-dil mein tarane bahut hain, Zindagi jeene ke bahana bahut hain, aap sada muskurate rahiye, aap kimuskurahat ke deewane bahut ahi...faisal (faishafi@rediffmail)

Humse dour jaoge kaise dil

se hame bhuloge kaise, hum won khusbu hain,Jo sanso me baste hai, khud ki sanso ko rok pawoge kaise..?

Aye allah aaj yeh faisala

kar de, usse mera ya mujhe uska karde, Bahooth dokh sahe hain main me zindagi me, koi kushi ap mere muqadar karde, nahin nasib me agar uska milna, katham kar de zinagi, fana karde.....faisal

Mil jaye har koi yuhi

raho me to kaise patha chale k intazar kya hota hai. Tadap ke dehkho kisiki chahat me toh pata chale PYAR KYA HOTA HAI..faisal

Pyar kamzor dil se kiya

nahi ja sakta, Zeher dushman se liya nahi jata, Dil me basi ulfat jis pyar ki, Us k bina jiya nahi ja sakta..