maine puucha pahala pathar mujhpar kaun uthayeaa

maine puucha pahala pathar mujhpar kaun uthayeaa
aaii ik aavaz ki tu jis ka mohsin kehalayega

puuchh sake to puuchhe koi ruth k jaane vaalon se
roshaniyon ko mere ghar ka rasta kaun batayega

logo mere sath chalo tum jo kuchh hai vo aage hai
piichhe mudd kr dekhane vala pathar ka ho jayega

din men hans kr milne vaale chehare saaf bataate hain
ek bhayaank sapana mujhko sari raat Darayega

mere bad vafa ka dhokaa aur kisi se mat karana
gaali degi duniya tujhko sar mera jhuk jayega

suukh gaii jab in aankho.n men pyar ki niilii jhiil ’Qateel’
tere dard ka zard samandr kaahe shor machayega

Leave a Reply