Ya Habibi Ya Hussain Ya Shafi Ya Hussain

Ya Habibi Ya Hussain Ya Shafi Ya Hussain

Ya habibi ya Hussain ya shafi ya Hussain (x2) ya gharibi ya Hussain.

He was Hussain the grandson of Prophet Muhammad, salallahu alayhi wasallam
Hussain mercy upon mankind, saviour of all mankind.

1) Rab ki raza say jisnay gaardan katayi, deen-e-Nabi ki jisnay laaj bachayi
Haar ghaar mai jiska farshe matam bicha hai (x2)
Roti hai jiskay ghum mai sari khudaai.

Ya Hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata (x3)

2) Mehman kar kay usko Kufa bulaaya bayyat-e-Yazid ka woh masla uthaaya
Bolay Hussain kabhi mai naa karunga (x2)
Sajday mai jisne apne saar ko kataya.

Ya Hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata (x3)

3) Zahra aur Haider jiska jhula jhulaye, khatm-e-mursal bhi jiske naaz uthaaye
Khaali sawaali jiske ghaar say naa jaaye (x2)
Hal min ki deta hai woh ban mai sadaaye.

Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata (x3)

4) Akbar sa beta diya Ghazi sa bhaayi, luti gayi hai ran mai jiski kamaayi
Ab bhi gawa hai uski shaam-e-gharibaan (x2)
Apne lahu say shamma deen ki jalaayi.

Ya Hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata (x3)

5) Koyi naa dekha humnay aisa namaazi, deen-e-Nabi pe jisnay haar shay lutayi
Phool bahatar diye raahe khuda mai (x2)
Sab kuch lutake kiya Allah ko raazi.

Ya Hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata (x3)

6) Jawaad-o-Meesam uska matam hai ghar ghar, roye janaaze jisne pyaaro ke din bhar
Phera gaya hai jiski gardan peh khanjar (x2)
Chini gayi hai jiski behna ki chadar

Ya Hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata (x3)

Leave a Reply